New Delhi : Kashmiri CPI ke rehnuma Mohammad Yousuf Tarigami ne Article 370 ki mansookhi se mutaliq umoor par Supreme court mein darkhwast dair kardi hai.
Chief justice Ranjan Gogoi ki sarbarahi mein bench unki darkhwast ke sath congress ke rehnuma Ghulam Nabi Azad, CPI-M leader Sitaram Yechury, MDMK General Secretary Vaiko, child rights activists Enakshi Ganguly, Executive Editor of the Kashmir Times Anuradha Bhasin, doctor Sameer Kaul and wife of Malaysia-based NRI businessman Asifa Mubeen ki darkhwaston par samaat karega.
Tarigami un rehnumao mein shaamil they, jinko Article 370 ko mansookh karne ke baad guzishta mah hirasat mein liya gaya tha, unki party ke saathi Sitaram Yechury ne Supreme court mein unki nazar bandi ko challenge karne ke do haftoun baad unhon ne Supreme court ka rukh kiya hai.
Wazeh hoke Supreme court ki mudakhlat ke baad, Tarigami ko ilaj ke liye All India institute of medical sciences ( AIMS ) mein ilaaj ke liye laya gaya tha. iske baad 16 September ko, Supreme court ne CPI-M ke rehnuma Mohammad Yousuf Tarigami ko srinagar wapas janey ki ijazat di thi.
Jab Sitaram Yechury srinagar mein apni party ke saathi Tarigami se milnay gaye to unhon ne paaya ke Tarigami ki naqal wo harkat par pabandi aaed kardi gayi thi aur iske baad security wapas leli gayeen. unhon ne adalat ko yeh bhi bataya ke Tarigami mukhtalif bimarion mein mubtala hain, inhen hospital janey ki ijazat nahi hai. iske baad adalat ne 5 September ko Tarigami ko AIMS mein muntaqil karne ki hidaayat ki. –YTN STAFF