New Delhi : Jammu wo Kashmir ke sabiq rukan qanoon saaz Mohammad Yousuf Tarigami unke ahal-e-khanah ko ghar mein nazar band kiya gaya hai. is taluq se communist party of India ( Marxist ) ke general secretary Sita ram Yechury ne jumeraat ko supreme court mein ek halaf nama dair kiya hai. 28 august ko chief justice Ranjan Gogoi aur Justice S. A. Bobde aur Justice S. Abdul Nazeer ki bench ne Yechury ko Kashmir jaaney aur Tarigami se mulaqaat ki ijazat di thi. adalat ne, Yechury se bhi unke riyasat ke doray ke baray mein ek report paish karne ko kaha tha.
Tarigami ne daawa kiya ke unke ahal-e-khanah aur bachay hoso ki girift mein hain. nah to kisi ko ghar mein jaaney diya jata hai aur nah hi bahar jaaney diya jata hai. halaf nama mein kaha gaya hai ke unke paas srinagar ya hindustan ki kisi bhi hissoun mein apne kumba aur doston se baat karne ka koi zareya nahi hai.
Yechury ne 4 august ko article 370 ke khatmay ke baad Tarigami ki nazar bandi ko challenge karne wali ek darkhwast dair ki thi, darkhwast mein yeh bhi kaha gaya tha ke Tarigami ki tabiyat theek nahi hai aur Yechury un se milna chahtay hain. halaf naame mein yeh bhi kaha gaya hai ke Tarigami ke sath baat cheet ke douran senior Superintendent police bhi kamray mein mojood thay, halaanke unki mojood gi laazmi nahi thi.
Yechury ne daawa kiya ke police ne inhen bataya ke Tarigami ke khilaf koi ilzaam nahi lagaya gaya hai aur inhen hirasat mein nahi liya gaya hai, balkay woh azad hain. taham jumaraat ko aala adalat ne bemaar SPIM rehnuma Mohammad Yousuf Tarigami ko all India institute of medical science ( AIIMS ) muntaqil karne ka hukum dete hue kaha ke unki sahet awleen tarjeeh hai. –YTN STAFF