Monday, April 21, 2025
HomeHyderabadTareekhi Fateh darwaaza ki safai behtar iqdaam

Tareekhi Fateh darwaaza ki safai behtar iqdaam

yeh wohi darwaaza hai jahan se 8 mah ke nakaam muhasra ke baad Aurangzeb Golconda Fateh karne qilah mein daakhil hue they

Hyderabad  : Hyderabad heritage trust, jo kay awam ke maali eaanat se chalne wala ek idaara hai jis ka maqsad clean up muhim ke ke zareya ahem muqamat ko saaf rakhna hai is ne tareekhi Golconda qilah ke Fateh darwaaza ki safai aur is rastay ko awam ke liye aisay faraham karna hai jaisa ke tareekh ki kitaboun mein iska zikar milta hai.

Yeh wohi tareekhi darwaaza hai jahan 8 mah ke nakaam muhasra ke baad Mughal Badshah Aurangzeb ne Golconda qilah ko Fateh karne ke liye daakhil hue they.Fateh darwaaza saaf honay se pehlay yeh ilaqa kachra phainknay walon aur laa parwah afraad ki wajah se badey kachray ke ambaar mein tabdeel hogaya tha. shumal ki taraf jo khayi hai woh insani gandagiyoun aur gharelo kachray se bhari padi thi. Fateh darwaaza ke qilay ki deewar ke sath ek chota sa rasta bhi moujood hai lekin jhadion ki bohat ziyada nashonuma ke sabab yeh na qabil-e-istemaal banaya gaya tha.

Awam ki la-parwahi to apni jagah Musalmah hai lekin GHMC ke ohdedaron ka bhi rawayya soutela hai kyunkay woh khud is tareekhi maqameem aur darwaaza ke paas kachra daal rahay they. is ahem aur tareekhi rastay ki safai ke zimn mein izhaar-e-khayaal karte hue Hyderabad heritage trust ke Mohammad shujaiat Ali ne kaha hai ke is rastay ki safai se nah sirf tareekhi darwaaza ki Azmat bahal hogi balkay is rastay ko awam ke liye kholnay se woh kam waqt mein qilah tak rasai haasil bhi kar sakenge.

Shujaiat Ali ne mazid kaha ke tareekhi maqamat aur Yadgaroun ki safai ka kaam guzashta hafta nobat pahadh se shuru kiya gaya aur iske behtar nataij ne hamein aur himmat di hai jiss ke baad hum ne Fateh darwazay ka rukh kiya hai.

Fateh darwazay ki ek azeem tareekh hai aur yeh tareekhi waqea ek janib deccan ke salateen ke halaat aur is waqt ke walii ullah ki karamaat ko zahir karta to doosri janib azeem mughal hukmuran Aurangzeb aalam gir ki deccan Fateh karne ke waqeat ki yaad taaza karta hai. jiske mutaliq kayi ek dastanin mashoor hai aur kayi waqeat to deccan ki tareekh aur yahan ke mashhoor ullah walon ke sath mansoob kiye jatay hain behr-e-kaif Golconda ka yeh Fateh darwaaza tareekhi haisiyat rakhta jis ko behtar halaat mein rakhna hukoomat aur muqami afraad har kisi ki akhlaqi zimmedaari hai. –YTN STAFF