Thursday, May 9, 2024
HomeIndiaTaraqqi ko aur Gehan, HindusTon mein shukar ki pedawar mein 54 feesad...

Taraqqi ko aur Gehan, HindusTon mein shukar ki pedawar mein 54 feesad kami

New Delhi: Tijarti adad-o-shumaar ke mutabiq Maharashtra mein pedawar mein tezi se kami ki wajah se October November ke douran Hindustan mein shukar ki pedawar mein 54 feesad ki kami waqay ho kar 18.85 Lakh Ton rahi. Shukar ka season ya marketing saal october taa September tak chalta hai. Indian sugar Mills Association ( ISMA) ne ek bayan mein kaha mojooda 2019-20 sugar season mein 30 November 2019 tak shukar ki pedawar 18.85 Lakh Ton hai, Jo guzashta saal 40. 69 Lakh Ton thi.

Ek Addvertisement ke bamujab 1 saal qabal gannay ki 418 Factories ke muqablay mein rawan saal 30 November tak sirf 279 sugar milein chal rahi theen jabkay. Pichlle mahinay, ISMA ne kaha ke 2019-20 ke marketing saal mein cheeni ki pedawar 21.5 feesad se kam hokar 26 million Ton hojaye gi. Yakam october tak is ne 14.58 million Ton cheeni ka iftitahi stock report kiya hai, Taaza tareen jari kardah adaad-o-shumaar ke mutabiq guzashta baras ki bah nisbat Uttar Pradesh mein Sugar pedawar 2019-20 ke marketing saal ke october ke douran 9.14 Lakh se badh kar 10.81 Lakh Ton hogayi.

Indian Sugar Mills Association

Maharashtra mein pedawar 67 hazar ton reh gayi jabkay is se pehlay 2 mah mein ye tadaad 18.89 Lakh ton rahi. Riyasat mein shukar milon ne 22 November 2019 ko der se kaam shuru kiya. Karnataka mein pedawar 8.40 Lakh ton se kam hokar 5.21 Lakh ton reh gayi. Tijarat aur market ke zaraye ke mutabiq baraamdaat ke liye takreeban 15 Lakh ton shukar ka moahida kiya gaya hai jis mein sugar miloun ke zareya Port bees refinners ke sath moahida kiya gaya hai. ISMA ne kaha hai ke shukar ki baraamdaat ki badi manzilain Iran , Srilanka, Afghanistan , Africi mumalik waghera hain.

Shumali reyastoun mein shukar ke mill ki qeematein pichlle 2 mahino se 3250 se 3300 rupay fi Quintal barqarar hai jabkay maghribi aur janoobi reyastoun mein ye fi Quintal 3100 se 3250 ke qareeb mojood hai. Reyasti hukoomatoun ke zareya faraham kardah tafseelaat ke mutabiq sugar miloun ke paas 30 November 2019 tak 2018-19 ke marketing saal se mutaliq gannay ki bakayajat takreeban 5000 crore rupay hai. –YTN STAFF