Wednesday, April 24, 2024
HomeHyderabadTank bund par ab har itwar ko traffic tehdidat hogi

Tank bund par ab har itwar ko traffic tehdidat hogi

Hyderabad: Commissioner of police Anjani Kumar ne itwar ko Tank bund par traffic ki tehdidat par aalamiya jari kiya hain aur hukum Sadir huwa hai ke ab Tank bund par itwar ko shaam 5 baje se raat 10 baje tak traffic tehdidat raheigi

Wazeer baldiyat intezamiya KTR ki jaanib se 3 din pehle kiye gaye elaan ke mutabiq commissioner ne traffic ko modne ke saath saath parking ki tafseelat bhi jaari ki hai. Taake awaam ko itwar ko shaam 5 baje se raat 10 baje tak Tank bund dekhne ke liye sahulat farahum ki jasake.

Yaad rahe ke ek shehri ne KTR se darqast ki thi ke woh itwar ki sham traffic mehdood karein taake shehriyon ko khoobsurat tank bund se lutf andoz hone diya jasake. Shehri ki darqast par gaur karte huwe vazeer ne use police commissioner ke pass bhej diya hain taake is silsile mein zaroori iqdamat kiye jaye.

Jis ke baad fauri taur par jawab dete huwe police commissioner ne mutalliqa afraad se mushawirat ki aur faisla kiya unho ne tamaam tafseelat sarkari taur par jaari kardi hain.

Traffic ka ruq har itwar sham 5 baje se raat 10 baje tak muassar raheiga. Liberty se uper Tank bund ki taraf aane wali traffic ko ambedkar ke mujasme par telugu tahli fly over aur Iqbal minar ki taraf modne ki ijazat nahi hogi. Telugu tahli fly over se balai Tank bund ki taraf aane wali traffic ko ijazat nahi di jaeigi aur ambetkar ke mujasme par liberty himayat Nagar ki taraf mod diya jaeiga.

Kabala maidan se balai tank bund ki taraf aane wali traffic ka ruq sealing club mein kuwadi Guda DBR mills lover tank bund katta maisamma mandir telugu tali fly over ki taraf mod diya jaeiga… DBR mills se balai tank bund ki taraf aane wali traffic ko DBR mills se ghusala kuwadi Guda Jabbar comical bibal house ki taraf modne ki ijazat hogi …Iqbal minar se secundarabad ki taraf aane wali traffic ko purana secretariat se telugu tali fly over ki taraf moda jaeiga…