Monday, September 16, 2024
HomeSliderTammam hajat corona se mehfooz

Tammam hajat corona se mehfooz

Is waqt aalam islam ki nazrain Allah ke ghar kabatulah par tiki hui hain jahan 60 hazaar se ziyada afraad munasik hajj ke ilawa tuwaf mein mashgool hain aur is corona ke bohraan mein fareeza hajj ka ada hona kisi barri Nemat se kam nahi. darin asna saudi arab ki wizarat sehat se jari kardah bayan ke bamojab tamam Hajjaj karaam corona waba se mehfooz hain aur Hajjaj mein corona ka koi maamla samnay nahi aaya hai.

Alawa azeen Hajjaj karaam ko maqam par tibbi sahuliyaat faraham karne ke liye medical team mojood hain jo ibtidayi tibbi imdaad dainay ke ilawa kisi bhi hungami halaat se nimatnay ke liye tayyar hain. bayan mein kaha gaya hai ke Hajjaj karaam ko corona waba se bachanay ke liye ghayr-maa’mooli iqdamaat kiye gaye hain.

Wizarat sehat ke bamojab Hajjaj karaam mein munasik hajj ke ekhtataam ke baad corona ke asraat aur alamaat ka muaina karne ki koshishen jari rakhi jayen gi taakay fareeza hajj ke baad bhi woh corona se mehfooz reh saken.

Hajj commission ke director general baraye security umoor major general Khalid bin qarar arabi ne kaha hai ke munasik hajj ke liye sirf un aazmeen ko ijazat di gayi hai jo vaccine lagwa chuke hain. khayaal rahay ke is martaba Saudi arab ke muqami shehrion aur mumlikat mein mojood dosray mumalik ke 60 hazar musalman fareeza hajj ada kar rahay hain. corona bohraan se qabal 2019 mein 25 laakh musalmanoon ne fareeza hajj ada kya tha. un mein mumlikat ke andar se 5 laakh 58 hazaar Hajjaj shaamil hue thay.

Guzashta baras ke bah nisbat is saal ziyada afraad ko hajj ki ijazat di gayi halaank inteda me yeh umeed ki jarahi thi ke shayad corona bohraan khatam hojaye ga aur 2019 ki terhan is saal mamool ke mutabiq hajj ka fareeza injaam diya jaye ga lekin 2020 ki terhan is saal bhi corona ka bohraan barqarar hai taham teeka aur dawa ki tayari ne halaat ko kisi qader behtar banadiya hai.