Monday, April 21, 2025
HomeIndiaTamilnadu mein bacha Borewell mein gir gaya, bachao ki koshishein jaari

Tamilnadu mein bacha Borewell mein gir gaya, bachao ki koshishein jaari

Chennai : Tamilnadu ke Tiruchirappalli  zila ke ek gaon mein ek 2 sala bacha, ek band shuda bore well mein gir gaya, jisko bahifazat bahar nikaalte ki koshishen chowthey din mein daakhil hogayi hain. ye bacha jummay ke roz saadhay 5 bajey shaam is Borewell mein girgaya, aur 30 foot gehrai mein phas gaya. jis ke fouri baad hi bachao ki koshishen shuru ki gayeen. isi raat ko woh mazeed neechay 90 foot par pohanch gaya.

Tamilnadu ke wazeer-e-sahet si vijaya bhaskar ne media numaindoun se baat karte hue kaha ”Borewell ke qareeb sorakh khodnay ke liye lagai janay wali darar, pathreli khittay ke liye sirf 40 foot ki geherai tak ja pohanchi hai “. unhon ne kaha ke aaindah Laiha amal ka faisla mukhtalif tanzeemoun se tabadlah khayaal ke baad liya jayega. unhon nay kaha ke bachao ki koshishen roki nahi jayengi.

Reyasti intizamia, disaster management aur takhfeef ke mehakma ke principal secretary jay radha Krishnan ne media numaindoun ko bataya ke 100 foot khodnay mein 12 ghantay lag sakte hain, iske baad Borewell mein ladke tak pohanchanay ke liye ufuqi surang khode jayegi. unhon ne kaha, ibtidayi tor par yeh andaza lagaya gaya tha ke naye sorakh ki khudayi 6-10 ghantoun mein mukammal ho jayegi. radha krishnan nay kaha ke ”ladke ke walidain ko madad ki jarahi hai aur inhen samjya jaraha hai.

Haftay ke roz national disaster response force ( NDRF ) aur state disaster response force ( SDRF ) nay bachao operation sambhaal liya, kyunkay Borewell se ladke ko bahar nikaalte ke liye istemaal ki janey wali doosri technic nakaam hogayi hai.

Ibtidayi tor par, ladke tak pohanchney ke liye Borewell ke qareeb gadha khodney ke liye matti hatane walay samaan ko istemaal mein laya gaya, lekin. isko wast mein hi rokk diya gaya tha, kyunkay ilaqay pathirelay they. iske alawa ye mehsoos kiya gaya tha ke is amal se andar matti dheeli hosakti hai aur bacha mazeed neechay phisal sakta hai.

Baad mein rescue team ne ek khaas borewell robot istemaal kiya, lekin woh bhi kamyaab nahi hua. iske alawa bohat si teamoun ne apni apni techinic se ladke ko bechney ki koshish ki hai lekin ab tak sab kuch na-kaam hue hain. –YTN STAFF