Monday, April 29, 2024
HomeHyderabadTamam polling stations par mazoor raye dahinoun ke liye wheelchairs

Tamam polling stations par mazoor raye dahinoun ke liye wheelchairs

Hyderabad: Shehar-e-Hyderabad ko is waqt GHMC intikhabaat ke bukhaar ne apni lappet mein leliya hai aur charon simtao se intikhabaat ki tayyariyan, siyasi jamaaton ki halchal aur TRS ke khilaaf BJP ki Dubbaka kamyabi ka shore hai aur raye dahindgaan apna qeemti vote kis party ke haq mein istemaal karna hai is ke liye apne afraad-e-khandan aur dost ahbaab se mashwara kar rahay hain to doosri janib hukoomat raye dahindoun ke liye corona bohraan aur samaji fasloun ko barqarar rakhnay ke liye mo-asar intizamaa mein masroof hai. Darin asna intikhabaat mein haq raye dahi se istifada ke liye aagay anay walay mazoor shehrion ke liye bhi itminan bakhash intizamaa kiye jarahay hain.

GHMC ki janib se intikhabaat ke ineqad ke silsila mein tayyariyan ki urooj par honay ke alawa mazoor raye dahindgaan ke liye kiye jane walay intizamaa shaamil hain jaisay wheel chairs aur minimum infrastructure ramp ki farahmi qabil-e-zikar hain.

Corpration ke ohdedaron ke mutabiq mazoor raye dahindoun ke liye kiye jane walay khusoosi intizamaa mein minimum infrastructure ramp ke alawa tamam polling stations par bait ul khala, peenay ke pani ki saholaten fraham karne ke intizamaa horahay hain taakay intikhabaat mein woh bhi apne vote ka istifada karen.

Wheel chairs tamam 150 divisions ke polling stations par fraham kiye jaanegi. hukkaam ne is zimn mein kaha hai ke GHMC jo Hyderabad mein tamam raye dahindoun ko voter slips taqseem karega. GHMC Head quarters par ek khusoosi control room qaim karte hue intikhabi amal ki nigrani ki jayegi. Control room mein CCTV cameron ke zareya polling stations ki sakht nigrani ki jayegi. is ke alawa GHMC ki janib se un intikhabaat mein sargaram hissa letay hue haq raye dahi ka istemaal karne ke liye awam mein baydaari muhim bhi chalaye jayegi. un intikhabaat ke pur aman ineqad ke liye senior ohdedaron ko bator Nodal officers muqarrar kiya jayega.