Monday, April 29, 2024
HomeSliderTaliban se moahida ka masauda Afghan hukoomat ko dikha diya gaya

Taliban se moahida ka masauda Afghan hukoomat ko dikha diya gaya

Kabul : In dinoun America aur taliban ke darmiyan moahida ek ahem masla aur mauzo behas hain aur uski ek kadi ko jodhte hue yeh kaha jaraha hai ke taliban ke sath moahida ka masauda nah sirf tayyar karliya gaya hai balkay usay Afghanistan ke arbab majaz ke hawala bhi kardiya gaya hai.

Taliban ke sath muahiday mein kaledi kirdaar ada karne walay Amrici safeer zulme khalil zaad nay Afghan sadar Ashraf ghani se mulaqaat ki aur inhen askriat pasand group ke sath mujawaza muahiday ka masauda dikha diya .

Zulme khalil zaad Doha mein taliban ke sath muzakraat ke kiye daur ke douran taqreeban ek saal ka arsa guzaar chuke hain kyunkay un muzakraat ka maqsad Afghanistan mein jari 18 sala taweel Amrici jung ka khtama karna hai. mumkina moahida ka markaz Amrici fouj mein kami, askriat pasandoun aur Afghan hukoomat ke darmiyan aman muzakraat aur jung bandi ke sath sath taliban se kayi zamanton ke gird ghoomta hai.

Wazeh rahay ke Afghanistan aur Iraq ke liye sabiq Amrici safeer zulme khalil zaad Qatar ke dar-ul-hakoomat Doha mein taliban ke sath muzakraat ke naveen daur ke baad kabul pohanche they. is hawalay se hukkaam nay kaha hai ke unhon nay Afghan sadar Ashraf ghani se mulaqaat ki aur inhen America . taliban muahiday ka masauda dekhaya. yeh mulaqaat is liye ahem thi kyunkay Afghan hukoomat ab tak is muzakarati daur se badi had tak door rahi hai, agar kisi hatmi muahiday ki soorat mein taliban ko Ashraf ghani se baat karna zaroori hoga, jinhein woh Amrici kath putli ke tor par dekhte hain.

Mulaqaat ke baad Afghan sadar ke tarjuman Sadiq Siddiqui nay media numaindon se kaha hai ke America aur deegar shiraakat daaron ki koshisho ke nataij is waqt baraamad honge jab taliban barah-e-raast Afghan hukoomat ke sath muzakraat mein shaamil hojatay hain, hamein umeed hai ke yeh koshishen tanazuath ke khatmay ka baais baningi. taham jab unse muahiday ki wazahat ke baray mein poocha gaya to unhon nay narazgi ka izhaar karte hue kaha ke sab se ahem yeh hai ke taliban ke tashadud ko roka jaye, hum par-umeed hain ke America aur taliban ke darmiyan dastakhat honay wala koi bhi muahiday ka nateeja aman aur jung bandi ki soorat mein niklayga.

Doosri janib Afghanistan ke chief executive Abdullah nay ek bayan mein kaha ke inhen bhi Afghanistan mein mukammal aur paidaar aman ke baray mein tafseelaat aur yaqeen dehani karwai gayi thi. wazeh rahay ke Afghan sadar ki janib se taliban ke sath Afghan muzakraat mein mulaqaat ke liye 15 rukni wafad ka taqarrur kiya tha, yeh muzakraat aaney walay hafton mein Norway mein honge, alawa azeen Amrici safeer zulme khalil zaad nay kaha ke America aur taliban muahiday ki dehleez par hain jo tashadud ko kam karega aur yeh paidaar aman ke liye ek rasta hoga.

Taham jahan ek taraf moahida hatmi marahil mein daakhil hogaya hai wahein Afghanistan bhar mein pur-tashaddud waqeat jari hain. 31 august ko taliban nay qandoz shehar par qabzay ke liye shumal se hamla kya jabkay unhon nay baghlan soobay ke dar-ul-hakoomat mein bhi operation ka aaghaz kardiya tha. –YTN STAFF