Friday, April 26, 2024
HomeSliderTaliban ki paish qadmi se Hyderabad mein maujood Afganistan ke tulaba fikar...

Taliban ki paish qadmi se Hyderabad mein maujood Afganistan ke tulaba fikar mand

Taliban ke Afganistan mein iqtedar hasil karne se Afgani bashindon ki deegar mumalik muntaqili ka bade paimane par agaaz ho chuka hain aur ittelat ke mutabiq kayi Afgan khandan Hindustan ko mehfooz panah gah tasawwur karte huwe yaha muntaqili ki taiyari kar rahe hai. Neez Afganistan ki maujooda surate haal se pareshan aur fikarmand taleba jo telangana ki muqtalif university mein zaire taleem hain. In taleba ne apne visa mein tausee ki darqast di hain taake woh Afganistan ke shorash zada halaat se bach sakein.

Telangana mein taqreeban 200 Afganistan ke taleba muqtalif university mein zaire taleem hain aur unho ne Hindustan ko apne liye mehfooz qaraar diya hain. Afgane taleba ne kaha hai ke maujooda halaat mein saathi taleba aur Afganistan mein unke afraad e khandan waapisi ke haq mein nahi hain. Baaz taleba ko andesha hain ke wapsi ki surate mein unka musataqbil gair yaqeeni ho jaeiga. kai taleba aise mein jinhe ainda chand hafton mein visa ki takmeel ke baad watan wapis hona hain aur unke course ki takmeel ka waqt khareeb aachuka hain.

Jaaria saal ke ikhtetaam Tak kai taleba ke visa ki muddat khatam ho jaeigi. Afgan student association ke sadar Mohammed Yousuf ne hukoomat e hind se darqast ki hai ke unke visa ki muddat mein tausee ki gaaye aur Afganistan mein surate haal behtar hone Tak unhe scholarship jaari ki jaaye unho ne mazeed kaha ke taqreeban 200 taleba jin mein 12 tulabaat mein Osmania university English and foreign languages university aur deegar 3 university mein zaire taleem hain. Inhe Indian council far cultural relation ki jaanib se mahina 24,500 rupiye ki scholarship di jaati hain.

Yousuf ne kaha hai ke kai taleba kayi taleba ke imtehan mukammil ho chuke hain aur baaz ke viza August ke iqtetaam Tak khatam ho jeinge beshtar taleba ko december Tak wapis hona hain. Afganistan ki maujooda surate haal mein taleba waapisi ke liye tayyar nahi kyun ki unka taleemi mutaqbil watan wapsi par tareek ho sakta hain. Arkaan e khandan wapsi ke haq mein nahi hain aur woh Hindustan hi mein qiyam karne ki targeeb de rahe hain. Hyderabad mein muqeem talba bainul aqwaami news channel aur website ke zariye watan ki surate haal aur Taliban ki policy ke baare mein maloomat hasil kar rahe hain taleba ke ba maujib Afganistan mein unke rishtedar aur unke dost ehbaab kaafi fikarmand hai aur woh apni salamti ko yaqeeni banane ke liye muqaami ba asar qayedeen se madad hasil kar rahe hain.