Monday, April 29, 2024
HomeSliderTaliban Iqtidaar ke baad Afghanistan mein chowthi martaba sadarti intikhabaat

Taliban Iqtidaar ke baad Afghanistan mein chowthi martaba sadarti intikhabaat

Kabul : Afghanistan mein sadar ke ohda ke mazboot daweydaar Ashraf ghani aur unke hareef chief executive Afsar abdullah ney sadaarti intikhabaat mein apne vote daaley. ghanni ney yahan Omani high school mein waqay polling markaz par vote dala. unhon ney vote daalnay aaye tamam afraad aur security par tainaat salamti doston ka shukriya ada kiya. unhon ney kaha ke aaj khushi ka din hai kyunkay log ek martaba phir sadaarti intikhabaat ke liye vote daal rahay hain.

Unhon ney intikhabi amal mein madad karne ke liye tamam bain ul aqwami maavnin ka bhi shukriya ada kiya. unhon ney kaha kay aman Afghan ke awam ka pehla mutalba hai aur yeh election aman tak pohanchney ke liye hi hai. hamara mansoobah tayyar hai aur hum ahtiyat ke sath chaleinge. unhon ney mazeed kaha kay hum tamam sarkari hukkaam se is amal mein mudakhlat nahi karne aur awam ko vote dainay ki ijazat dainay ki darkhwast karte hain.

2001 mein taliban ke qabza se Iqtidaar cheenney janey ke baad chowthi martaba horahay sadaarti intikhabaat mein 14 umeed waar sakht jad-o-jehad kar rahay hain. dehshat gard group bhi khamosh nahi hain. taliban ney yeh wazeh kardiya hai ke woh aman ke liye sabiq wadon ke bawajood poooray intikhabi amal ko patri se utardinge. taliban ki dhamki ke darmiyan Afghanistan mein sadarti intikhabaat ke liye sakht intizamaa mein polling shuru hui. Afghanistan mein polling subah 7 bajay se shuru hokar shaam ke 5 bajay tak jari rahi. intikhabaat ke nataij 19 october tak anay ki umeed hai.

Intikhabaat mein utre umeedwaar ko jeetnay ke liye 50 feesad vote lana laazmi hai. kisi bhi umeed waar ko 50 feesad vote nahi milnay ki soorat mein chowti ke do umeedwaroun ke darmiyan dosray marhalay ke intikhabaat November mein karwaen jayenge.

Afghanistan mein majmoi tour par 95 laakh se ziyada raye dahindgaan apne haq raye dahi ka istemaal karenge. un intikhabaat mein Ashraf ghani sameit 15 umeed waar apni qismat aazma rahay hain. taliban ney intikhabaat ka boycott karne ka elaan kiya hai. khayaal rahay ke intikhabi tashheer ke douran Afghanistan mein dhmakoun ke kayi waqeat hue they jin mein senkdon afraad ki mout hui aur intekhabaat ke douran bhi chand na-khushgawaar waqeat hue hain. –YTN STAFF