Thursday, April 25, 2024
HomeSliderTaliban har mulk ke saath tijarati aur sifarti taluqaat ke khauhaa

Taliban har mulk ke saath tijarati aur sifarti taluqaat ke khauhaa

Kaabul: Taliban ne in afwahon ko mustarad kar diya hai ke jinhe kaha jaraha tha ke Taliban hukoomat kisi mulk ke saath tijarati taluqaat nahi qayam karna chahti hain aur kaha ke woh har kisi ke saath behtar sifarti aur tijarati taluqaat ka khauhaa hain. Taliban ke tarjuman zabiullah mujhahed ne ek tweet mein kaha hai ke tanzeem ne kabhi nahi kaha ke woh kisi mulk ke saath tijarat nahi karna chahti hain tanzeem aisi kisi bhi afwaa ko kharij karti hain.

Tarjuman ne kaha islami imaarat Afganistan tamaam mumalik ke saath behtar sifarti aur tijarati rishte chahti hain. Hum ne kaha ke hum kisi mulk se tijarat nahi kareinge is babat jo afwahe phailayi gayi hain woh sach nahi hain aur hum use kharij karte hain mujhahed ne kaha hum aisi har afwah ko kharij karte hain jo sach nahi hain. Gaur talab hai ke mulk ke 102 wi youm e azaadi ke mauqe par islami imaarat Afganistan ki tashkeel ka elaan kiya gaya hain. Mujhahed ne apne twitter account par yeh elaan kiya hain.

Yaad rahe ke Taliban ne jume raat ko mulk ke 102 wi youm e azaadi ke mauqe par imaarat e islamiya Afganistan ke qiyam ka elaan kiya hain. Taliban ke tarjuman zabi ullah mujhahed ne twitter par likha ke imaarat e islamiya ka elaan britain raaj e mulk ki azaadi ki 102wi salgirah ke mauqe par kiya gaya hain itwar ko Taliban ki jaanib se Afganistan ke darul hukoomat par qabza karne ke baad sadar ashraf ghani Kabul se farar ho gaye the Taliban ne elaan kiya hain ke woh jald hi nayi hukoomat ke qiyam ka elaan kareinge aur hukoomat ko shariyat ke mutabiq chalaya jaeiga.