Thursday, April 25, 2024
HomeSliderTaliban aur America mein tareekhi aman moahida, 18 sala jung ka khtama

Taliban aur America mein tareekhi aman moahida, 18 sala jung ka khtama

Doha: New York ke World Trade Center par saal 2001 mein hamlay ke baad Afghanistan mein shuru honay wali jung ke khatmay ke liye America aur Taliban ke darmain tareekhi aman muahiday par dastakhat hogaye. America aur Afghan hukoomat ke mushtarqa elaan ke mutabiq agar Taliban muahiday ki paasdari ko yakeeni banayen to America aur is ke ittihadi aindah 14 mah ke andar apni tamam afwaj Afghanistan se wapas bulaa len ge.

Aindah 135 din ke andar 8600 bairooni fojioun ka inkhala hoga jabkay aindah 14 mah ke andar Afghanistan se tamam ghair mulki afwaj ki wapsi mukammal hojaye gi. Taliban Afghan mazakraat ke tanazur mein senkdoun qaidyoun ka tabadlah karen ge.

Americi Sadar Donald Trump ne Afghan awam par naye mustaqbil se faida uthany ke liye zor dete huve kaha ke is muahiday se 18 sala tanaza khatam honay ka imkaan hai. Agar Taliban ne aman mansoobay ki paasdari nahi ki to jawabi karwai ka haq rakhtay hain. Trump ne mazeed kaha ke agar Taliban aur Afghanistan ki hukoomat un wadoun par qaim rehtay hain to hamaray paas Afghanistan mein jung khatam karne aur apne fojioun ko ghar wapas laane ka behtareen rasta hoga.

Tareekhi muahiday ki Doha mein honay wali taqreeb se khitaab karte huve qutar ke wazeer kharja Sheikh Mohammad Bin Sani ne kaha ke Doha samjhta hai ke Afghanistan mein aman ke liye saaskar mahul faraham karna fariqain samait aalmi bardari ki mushtarqa zimma daari hai. Wazeer kharja ne kaha ke Qatar ki hukoomat ne muahiday ko kamyaab bananay ke liye kirdaar ada kiya jis se Afghanistan mein 18 sala jung ka khtama aur paidaar aman ki raah hamwar huvi. –YTN STAFF