Friday, April 19, 2024
HomeSliderTaliban Afganistan se fahashi khatam karne ki taiyari mein masroof

Taliban Afganistan se fahashi khatam karne ki taiyari mein masroof

Kabul: Taliban Afganistan se fahashi khatam karne ki taiyari mein masroofmubina taur par un khawateen ki talash kar rahe hain taake woh Afganistan se fahashi ko khatam kar sakein. Taliban un khawateen ko talash kar rahe hai jo tawaef ke taur par kaam karti thi aur unhe sazaa dene ke liye fehrist taiyar kar rahe hai. Afganistan se America afwaaj ke inqela aur baad mein Taliban ke qabze ke baad hukumran giroh mubina taur par jism faroshi mein mulawwis khawateen ki fehrist taiyar kar raha hain.

Khayal kiya jaata hain ke Taliban jinsi karkuno ke liye sazaa e maut ka elaan kar sakte hain. Hindi roz nama nau Bharat times ki ek report ne di sunke hawale se likha hain ke Taliban ke death scuade fehash siton ke zariye bhi talash kar rahe hain. Jahan kuch Afgan khawateen gair mulkiyon ke saath jinsi harkaton mein nazar aati hai. Kaha jaata hai ke hukumran giroh in khawateen ki shanaqt ke liye muhim chala raha hai jinho ne jism faroshi ka kaam kiya 1996 se 2001 tak Taliban ki aakhri hukoomat mein aisi kayi khawateen ko sar e aam sazaa e maut di gayi thi lekin is martaba Taliban ke mauqaf mein badi tabdili dekhne mein aayi hain..ek zariye ke hawale se report mein kaha gaya hain ke Taliban fehash siton ki talash kar rahe hai taake woh Afgan sex workers ko shanaqt kar sakein taake unhe khatam kiya jaye ya unhe ghulaam banaya jaye.

Unki aakhri hukoomat ke dauran Taliban ne aisi khawateen ko be dardi se qatl kiya tha. Yeh khayal kiya jaata hain ke Taliban aisi khawateen ke liye sab se bada khatra banke ubra hai. Pichle 20 saal mein is group ne mubina taur par in khawateen ko marna jaari rakha jo gair majaaz jinsi taluqaat ya shadi ke bagair jinsi taluqaat qayem rakhte hain.

Yaad rahe muqalif Taliban media Afganistan ke naye iqtedar ko insan dushman ke taur par paish kar raha hain aur khaas Taur par 20 saal qabl jo inki tashaddud aur kattar pan tha aise paish kar raha hai lekin is martaba Taliban ne kayi ek aise faisle kiye hai jis ke baad unse ek nayi umeed ki ja rahi hai kyun ke Taliban ne Kabul par qabza karne ke saath hi aam maafi ka elaan kiya hain jis ke baad unho ne hukoomat saazi mein khawateen ki shamooliyat aur Afganistan ki cricket team ko daura Australia ki bhi ijazat di hain jabke maazi mein aise faisle Taliban ki jaanib se nahi kiye jaate the.