Friday, April 26, 2024
HomeSliderTalibaan rehnuma Sher Mohammad Abbas Stanikzai ki Hindustani fauji academy mein training huwi...

Talibaan rehnuma Sher Mohammad Abbas Stanikzai ki Hindustani fauji academy mein training huwi thi

Kabul: Taliban ke senior rehnuma Sher muhammad Abbas Stanikzai jinho ne 31 August ko Qatar mein Hindustani safeer Deepak mittal se mulaqat ki thi unho ne 1970 ki dihai ke aakhir aur 1980 ki dihai ke awael mein ek Hindustani fauji academy mein ba taur e Afgan auhdedar tabiyat hasil ki thi. vizarat e kharjaa ki ek press release ke mutabiq mittal ne Taliban ke Afganistan par qabza karne ke baad pehli ba zabta safarati raabte mein Stanikzai se mulaqat ki yeh mulaqat Doha mein Hindustani sifarat khane mein huwi.

Mulaqat mein unho ne Hindustan ke khadshat se agaah kiya ke Afganistan ki sar zameen ko Hindustan muqtalif sar garmiyon aur dehshat gardi ke liye istemal nahi kiya jaana chahiye. vizarat ke mutabiq mulaqat mein Afganistan mein phase huwe Hindustani shehriyon ki hifazat salamti aur jald wapsi aur Afgan shehriyon khas taur par aqliyati bradriyon ke Hindustan safar par bhi tawajjeh markooz ki gayi. Stanikzai jo Qatar mein Taliban ke siyasi daftar ke sar barah hain ne 1979 se 1982 ke darmiyan 3 saal indian army ke saath tabiyat haasil ki. Army kedit college naugaun mein ba taur jawan aur phir indian milatry academy mein ba taur auhdedar dehradun mein tarbiyat hasil ki thi.

Hindustani maroof TV reporter ke mutabiq Stanikzai ek nayab Taliban rehnuma hain jo english zuban mein mahir hai unhe zyada safar ka bhi tajurba hai khas taur par Afganistan ke nayeb vazeer kharjaa ki haisiyat se jab Taliban aakhri baar 1996- 2001 tak iqtedar mein the. saal 1996 mein Stanikzai ne washington DC ka daura kiya taake us waqt ke sadar bill clinton ki intezamiya ko Taliban hukoomat ko tasleem karne par raazi kiya jaye lekin woh na kaam rahe.

Qaumi TV ne blomberg ki ek report ke hawale dete huwe kaha ke unho ne china ke liye wafood ki qiyadat bhi ki thi. report mein mazeed kaha gaya ke Taliban rehnuma in muzakeraat mein Abdul hakeem haqqani ke nayeb muzakeraat kaar bhi the jo qabl azee Afgan hukoomat ke auhdedaro ke saath the Afganistan mein Hindustan ke taluqaat se waaqif logon ne kaha ke yeh kam az kam do dahayion mein dono fareeqon ke darmiyan pehla awaami taur par tasleem shudaa rabta tha.