Thursday, April 25, 2024
HomeHyderabadTalibaan ke Hyderabad mein asraat kushk mewaa jaat ki qeematon mein izaafa

Talibaan ke Hyderabad mein asraat kushk mewaa jaat ki qeematon mein izaafa

Hyderabad: Talibaan ke Afganistan mein barsar ikhtedar aane ke baad jahan saari duniya mein uske asraat murattib ho rahe hai wahi Hyderabad mein bhi Talibaan ke asraat numaya hona shuroo ho chuke hain. Jaisa ke Hindustan ke saath ashiya ke tamaam dar aamaad aur bar aamad band karne ke baad shehar mein kushk mewaa jaat ki kheematon mein izafa huwa hai. Muqaami tajiron ke mutabiq Afganistan se shehar mein kushk mewaa jaat ki dar aamaad par rukawat ne kheematon ko badha diya hain.

Khushk mewaa jaat ki dar aamaad buhot se logon ko mutasir kareigi. Jinho ne wabai Surat e haal ke paishe nazar apni quwwat e mudafiyat badhane ke liye kushk mewaa jaat ka istemal shuroo kar diya hain. Afganistan mein taaze hungame ne Hindustan aur uske ahem shehro ko mutasir kiya hain kyun ke Hindustan ke 85 feesad khushk mewaa jaat padosi mulk se aate hai. Kushk mewaa jaat ki kheematein Kabul par Talibaan ke aakhri humle se pehle hi mutasir huwi thi. Kyun ke jammu ke tajiron ne guzishta 10-15 dino mein hone wali khalal ke baare mein baat ki hain dar haqeeqat badam pishta alu buqara qurbani aur kuch deegar mewaa jaat Afganistan se dar aamaad kiye jaate hain. Is mulk ki tashweesh nak siyasi Surat e haal ne kushk mewaa jaat ki Hindustan aamaad ko rok diya hain darasal Hindustan Afganistan se kushk mewaa jaat dar aamaad karta hain.

Kushk mewaa jaat pehle Delhi aur Mumbai ki mandiyon tak pohunchte hain wahan se Hyderabad aur Maharashtra ke nanded mein dar aamad kiye jaate hain. Azlaa ke tajir unhe khareedte hai aur unhe apni jagaho par faroqt karte hain. Kushk mewaa jaat ki dar aamaad mutasir hone ki wajeh se kushk mewaa jaat ki kheematein 50 rupiye se badh kar 200 rupiye ho gayi hain. Shehar ke ek tajir Yaseen khan ne kaha hai ke mujhe yaqeen hai ke Khaleel arse ke dauran Talibaan ko yeh ehsas ho jaiega ke eqtesadi taraqqi hi aage badhne ka wahid raasta hai aur woh isi tarha ki tijarat ko jaari rakheinge…unke liye bhi yeh tijarat ahem hain. Hindustan ke Afganistan ke saath sadiyon purane tijarati taluqaat hain aur us waqt 3 billion Americi dollar ki badi sarmaya Kari hain. kuch ahem masnooaat jo Hindustan se bar aamad ki jaati hain woh cheeni dawasazi malboosat chai coffee masala jaat aur transmission tower’s hain jabke dar aamaad zyada tar kushk mewaa jaat par munhasir hoti hain.