Thursday, April 25, 2024
HomeEntertainmentTalibaan: Arshi khan Afgan cricketer se mangni tod di

Talibaan: Arshi khan Afgan cricketer se mangni tod di

Mumbai: TV adakara Arshi khan ne kaha hai ke unki mangni ek Afgan cricketer se honi thi jise unke Walid ne muntaqab kiya tha aur unhe khadsha hai ke Afganistan par Talibaan ke qabze ki wajeh se unke khandan ko mangni khatam karni padh sakti hain adakara ne mazeed kaha ke mujhe October mein ek Afgan cricketer ke saath mangni karni thi hum safar ka inteqab mere Walid ne kiya tha wazeh taur par walidain ki jaanib se muntaqab kardah hum safar ke saath mangni ke baare mein baat karte huwe arshi ne zikr kiya ke agarcahe woh apne mutawaqqeh mangetar ke saath raabte mein thi lekin ab unhe khadsha hai ke unke khandan ko mangni mansooq karna padh sakta hain. Woh mere Walid ke dost ka beta hain. Hum dono mein baat cheet bhi hain aur doston ki tarha hain lekin mujhe ab yaqeen hai ke mere Walid mujhe ek Hindustani saathi talash kareinge.

Arshi ne kaha ke uski khandan ki jadein Afghanistan mein hain usne mazeed kaha main ek Afgani pathan hoon aur mera khandan Yousuf zayi nasli giroh se taluq rakhta hain. Mere dada Afghanistan se hijrat kar ke Bhopal mein jailor the. Meri jadein Afganistan mein hain lekin main bhot zyada Hindustani shehri hoon jaise mere walidain aur dada dadi hain Arshi big boss 11 ki madde muqabil thi  aur usne apne season 14 mein ek chalainger ke taur par dubara daqila liya tha wish aur ishq mein marjawan mein unho ne apni adakari dikhai hain. Yaad rahe ke gujishta hafta Talibaan ki jaanib se Afganistan ka iqtedar sambhalne ke baad se mulk mein halaat tezi se badal rahe hain. Alawa azeen labral tarz ka muashera Talibaan ke iqtedar mein aane ke baad se kaafi mutafakkir hain kyun ke Talibaan ne pehle hi wazeh kar diya hai ke woh islami qawaneen ke mutabiq hukoomat chaleinge.