Saturday, May 4, 2024
HomeOthersHealthTali Hui Ghiza Ke Shouqeen Afraad Ko Jaan Ka Ziyada Khatra

Tali Hui Ghiza Ke Shouqeen Afraad Ko Jaan Ka Ziyada Khatra

Hyderabad : Barsaat ke mausam may garam garam mirchiyan, pakodey aur tali hui ghizai ashiya kise pasand nahi hoti hain lekin waisay to har mausam mein taley hue pakwaan khanay ke shoqeen afraad ki ek badi tadaad mein log nazar aatey hain, phir chaahey barish mein pakode hon, chai ke sath samose ya garma garam aalo ke chips, yeh tamam dishes junk food khanay walay afraad ki pasandeeda hoti hain. lekin kya aap jantay hain ke bohat ziyada taley hue khanay dil ke amraaz mein mubtala honay ka khatrah bohat had taq badha sakte hain.

Ek nai Amrici tibbi tahaqeeq mein yeh intibah samnay aaya ke tali hui cheezein khanay se amraaz qalb ka khatrah do guna had tak badh sakta hai. is tahaqeeq ke mutabiq woh afraad jo junk food jaisay burger fries, taley hue pakwaan aur gosht khanay ke shoqeen hain un mein sahet mand ghiza khanay walay afraad ke muqablay dil ke masail mein mubtala honay ka imkaan 50% tak ziyada hota hai.

Is ke sath hi un ghizaoun ko khanay se dil ka doura padney ka khatrah bhi badh jata hai. tahaqeeq ke baad doctors ne mashwara diya ke log tali hui cheezein rozana khanay se gareiz karen aur sath hi taaza sabzian, phal aur gosht khanay ka mahswara diya gaya. agar is taaza tehqeeq ke tanazur mein hyderabadi awam ka tajzia kiya jaye to nawaboun ke shehar ke awam ki aksariyat tali hui aur murgan ghizaoun ka istemaal karne ki shouqeen dikhayi deti hai aur sath hi aisay afraad jo-ke raat der gaye murgan ghizaoun ka istemaal karte hain woh subah Sadiq uthnay aur warzish karne ke bhi aadi nahi hotay. Mufit Tariq masood ne apne aksar bayanaat mein sahet ki ahmiyat aur murgan ghizaoun ke istemaal ke shouqeen afraad ko warzish ki bhi Talqeen ki hai kyunkay islam mein bhi kamzor momin se ziyada taaqat war momin ko pasand kiya gaya hai. –YTN STAFF