Thursday, April 25, 2024
HomeLatest NewsTaleemi idaron ke band honay ke baad bus stations par talba ka...

Taleemi idaron ke band honay ke baad bus stations par talba ka hajhoom

Kyuke Telangana mein corona ke infection ke badhne ke khadshaat ke tehat schools aur colleges ko band kardiya gaya jis ke baad talba badi tadaad mein apne aabadi shehar wapas rawana hona shuru hogaye hain. Hazaron talba ki apne gahro ko wapsi ki wajah se shehar mein bus station mein talba aur un ke walidain ka zabardast hajhoom  dekhne mein aaya, jis se yeh khadsha peda hua ke woh virus ko apne aabadi ilaqon mein le jasaktay hain kyukay agar ek bhi taalib ilm corona virus se mutasir raha to woh apne gharon mein is waba ke phelnay ki wajah ban sakta hai.

ALSO READ:-Corona vaccine ke liye fehrist tayyar, front liners pehli tarjeeh

Wazeh rahay ke haliya dinon mein rehaishi schools aur hostel se mutadid Covid mamlaat report hue hain. Telangana State Road Transport Corporation (TSRTC) ke ohdedaron ke mutabiq sirf charsumbe ke sah pehar tak shehar ke do bade bus terminal jubilee bus station aur Mahatma Gandhi bus station mein musafiron ke tadaad mein 10 feesad se ziyada izafah dekhnay mein aaya. Ohdedaron ne yeh bhi kaha ke kyuke ziyada tar bus musafiron ki  puri tadaad  ke sath chal rahi hain is liye bhi  inhe kuch rastoon aur elaqo par izafi bus ko chalana pada hai.

Is waqt mehakma sehat sirf un idaron ke talba ki talaash kar raha hai jahan misbet waqeat ka pata chala hai. Ghar wapas anay walay tamam tlba ki jaanch  karna mumkin nahi hai. Misaal ke  tor par agar mumkin ho to behtar hota ke Covid test apne apne ghar ko wapas bhejnay se pehlay hi karwaen. Taham hum apne field amlay ko muashray mein hsasit ke ki bunyaad par bhejen ge taakay yeh yakeeni banaya jasakay ke bachon mein virus ki  alamat honay ki surat  mein woh khud ko allag thalag kar dein. Yaad rahay ke hostels aur rehaishi schools aur colleges mein talba, usaatzaa  aur ghair tdrisi amlah ka virus se mutasir honay aur mamlaat mein izafah ke baad Telangana hukoomat ne taleemi idaron ko ghair muayana muddat ke liye band kardiya hai.