Tuesday, May 21, 2024
HomeSliderTaleem Yafta aur hunar mand bairooni afraad ke liye Germany mein mulazimtoun...

Taleem Yafta aur hunar mand bairooni afraad ke liye Germany mein mulazimtoun ka husool aasaan kardiya gaya

Berlin: Germany mein yakam March 2020 se naye Immigration qanoon ka itlaq ho chuka hai jis ne hunar afraad ke liye rozgaar ke rastay aasaan kardiye hain. Ye qanoon bairooni hunarmand afraad ke liye Germany mein mulazimat haasil karne ka amal aasaan bana diya hai. Naye qanoon ke nifaz ke baad ghair Europe mumalik se talluq rakhnay walay aisay afraad ke liye bhi, Jinhoun ne Vocational Training ( pesha warana tarbiyat ) ya ghair darsi tarbiyat haasil kar rakhi ho wo Germany mein mulazimat aur rahaish ikhtiyar kar saken ge.

Aala taleem yafta afraad ke liye Germany mein rahaish aur mulazimat ikhtiyar karne ka mojooda tareeqakar barqarar rahay ga lekin usay bhi mazeed aasaan bana diya gaya hai. Naye Immigration qanoon ke barey mein mukammal tafseelaat German hukoomat ki khusoosi Website Make it in Germany se haasil ki ja sakti hain. Ghair mulki hunar mand afraad, Taalib ilmoun aur German companiyoun ke liye naye qawaneen mein ki gayi kaleedi tabdeelian ki gayi hain jin ki tafseelaat kuch istarah hain.

Mustaqbil mein sirf Universities ke farigh ulthesil afraad hi nahi balkay pesha warana tarbiyat haasil karne walay karkun bhi Germany mein kaam kar saken ge. Hindustan ke tanazur mein naye qanoon ki aasanyan dekhi jayen to tarbiyat yafta se morad University se haasil ki gayi taleemi Degree bhi hai aur Intermediate ke baad kam az kam 2 saal ke liye haasil kardah pesha warana taleem o tarbiyat bhi. Taham is dono terhan ki taleem ka Germany mein mutaliqa idaroun se tasleem shuda hona zurori ho ga.

Germany Labor Immigration Law

Pesha warana tarbiyat ke haamil afraad ke liye kisi makhsoos shobay mein kaam karne ki shart bhi khatam kar di gayi hai. Ab aisay tarbiyat yafta afraad apni taleem se mutaliqa kisi bhi shobay mein kaam kar saken ge. Maazi mein Germany mein ghair Europe afraad ko isi soorat mein koi mulazimat di ja sakti thi jab is kaam ke liye German ya phir Europe Union ke shehrioun ne koi darkhwast na day rakhi ho. Naye qanoon mein ye shart khatam kar di gayi hai jis ke baad ab ghair Europi afraad kisi bhi noiyat ki mulazimat ke liye darkhwasten day saken ge.

Alawa azeen ab tarbiyat yafta afraad deegar mutaliqa shobo mein bhi kaam kar saken ge. Universities ke Degree yafta afraad aisi mulaazimaten bhi kar saken ge jo un ke shobo se mutaliq hon gi, Lekin aam tor par un ke liye Vocational tarbiyat darkaar hoti hai. Blue Card ke husool ke liye University Degree ki shart aindah bhi barqarar rahay gi. Maazi mein Job Search Visa ke liye University Degree darkaar hoti thi. Taham ab pesha warana tarbiyat yafta afraad bhi 6 mah ke liye Germany mein nokari ki talaash ke liye aa saken ge. Taham un ki taleem Germany mein tasleem shuda hona chahiye aur German zabaan ka bi one certificate aur Germany mein rahaish ke liye mahana akhrajaat ke liye kaafi raqam ka mojood hona bhi aisa Visa haasil karne ke liye zurori sharait hain.

Alawa azeen un 6 mah ke douran Job Search Visa ke haamil ghair mulkioun ko haftay mein 10 ghantay tak kaam karne ki ijazat bhi ho gi. German idaray aur mulazimat ke husool ke khwahish mand afraad ek dosray ko behtar andaaz mein samajh saken ge. Is ke alawa Europe Union ke baher se anay walay ghair mulkioun ke liye Germany mein mustaqil rahaish ka baqaida ijazat nama aindah 5 ke bajaye 4 saal mein hi mil jaya kere ga.

Germany mein zair taleem bairooni taalib ilmoun ke liye Degree haasil karne ke baad mulazimat karna to pehlay bhi aassan tha lekin ab un ke liye Visa Type tabdeel karwana mazeed aassan bana diya gaya hai. Kuch sharait ke sath ab douran taleem hi mulazimat shuru kar ke rehaishi Permit haasil kiya ja sakay ga.

Is ke alawa Germany mein Vocational Training haasil karne walay taalib ilmoun ko bhi University taalib ilmoun ki terhan Degree khatam karne ke 2 saal baad mustaqil rahaish ka ijazat nama mil sakay ga. Naye qanoon ke tehat German aajiroun ke liye bhi bairooni mulazmeen ko Germany laane ka amal aassan bana diya gaya hai. Ab German companian ghair mulkioun se mutaliq wifaqi daftar ki muqami shaakhoun ki madad se apne mumkina mulazmeen aur un ke ahal khanah ke liye tarjeehi bunyadoun par visa haasil kar saken gi.

Usooli tor par un qawaneen ka itlaq Germany mein pehlay se mojood muhajreen aur panah guzinoun par bhi hota hai, Taham German siyasat daano ke mutabiq un mein se bohat kam tanasub mein aisay afraad hain, Jo matlooba miyaar par poora utartay huve naye Immigration qawaneen se faida utha saken ge. Aisay bairooni afraad jin ki Germany mein rehaishi hesiyat baqaida nahi hai lekin jinhein bojoh mulk badar nahi kiya ja sakta inhen kuch khaas halaat mein tarbiyat haasil karne ki ijazat di ja sakti hai.
Un sharait mein ye shaamil hai ke mazkoorah shakhs Germany mein guzashta 18 mah se kam az kam 35 ghantay fi hafta kaam kar raha ho aur apne akhrajaat khud utha sakta ho, German zabaan par bhi uboor rakhta ho ( yani german zabaan mein bi two darjay ka certificate haasil kar rakha ho ), Aur is ka koi mujremana Record na ho. –YTN STAFF