Friday, May 17, 2024
HomeIndiaTalba par zulm aur CAA ke khilaaf mulk ke mukhtalif shehroun mein...

Talba par zulm aur CAA ke khilaaf mulk ke mukhtalif shehroun mein ehtajaji muzahirey

Mulk mein shehriat tarmeemi act ( CAA ) ke khilaaf par zor mukhalifat ho rahi hai, Aur Delhi ki Jamia Millia aur Aligarh university mein talba is zimn mein ehtajaji muzahirey kar rahay hain, Jin par police ne zulm-o-bar bariat ka muzahira karte hue senkdoun talba ko zakhmi kardiya hai. Jamia Millia aur Aligarh muslim university ke ehtijaj kar rahay talba par police ki janib se zulm-o-tashadud kiye jaanay ke khilaaf mulk ke mukhtalif shehroun aur taleemi idaroun mein ehtajaji muzahirey kiye ja rahay hain.

Tamil Nado mein peer ke ruz college ke talba ne, Shehriat tarmeemi Act ( CAA ) ke khilaaf ehtijaj kar rahay Jamia Millia Islamia university ke talba par police ke zulm par izhaar afsos kiya, Aur un talba se izhaar yakjahti karte hue shehriat tarmeemi act aur police ke zalimana karwai ke khilaaf ehtijaj kiya.

Student Federation of India ( SFI ) ke membraan ne Chennai sab urban Railway terminal ke bahar shehriat tarmeemi act ke khilaaf ehtijaj kiya. Aur talba ne qanoon, Reyasti-o-markazi hukoomatoun ke khilaaf naaray lagaye. Indian Institute of Technology Madras ( IITM ) ke talba ne campus ke andar juloos nikala. Isi terhan yahan  Loyola  college ke talba ne bhi ehtijaj kiya.

Tiruvannamalai mein, Government Arts college ke talba ke ek group ne ek ehtajaji muzahera kiya aur naaray baazi ki. Sath hi Coimbatore aur  Madurai ke talba ne bhi ehtijaj kiya. Idhar, DMK, Sadar M.K. Stalin ne elaan kiya hai ke, Unki party mangal ke roz CAA ke khilaaf ehtijaj munazzam keregi.

Isi terhan riyasat Karnataka ke dar-ul-hukoomat Bangloru mein Hazaroun Bangloroun ne shehriat tarmeemi act ( CAA ) ke khilaaf ehtijaj karte hue is tehreek ko ek aur azadi jad-o-jehad qarar diya. Unhoun ne kaha ke ”hamare paas hissa lainay ke liye ek aur tehreek azadi hai“.

Sabiqa Indian institute of Managment Banglore ( IIM.B) ke sabiq professor ne muzahireen se mutalba kiya ke wo jame hindustan ke liye ladne ka ehad karen. Unhoun ne kaha ke mai sab se guzarish karta hon ke wo hamaray mulk ki rooh ko bachanay ke liye jaddo jehed mein shaamil hon.

Muzahireen ne riyasat karnataka ke jhande, Hindustani parcham aur play card lahraya, Aur siwaye musalmanoun ke, Pakistan, Afghanistan aur Bangladesh se talluq rakhnay walay Hinduo, Esaion, Sikhnon, Jainnu aur Parsyon ko, Hindustani shehriat dainay ke liye banaye gaye naye qanoon ke khilaaf naaray lagaye aur is ki muzammat ki.

Jainnagar se rukan Assembly Sowmya Reddy ne CAA ke khilaaf muzahiroun ke douran izhaar khayaal kiya. Unhoun ne kaha ke ”Ek inqilab shuru ho chuka hai, Hum hindustan ke secularism ko marnay nahi den ge.

Itwaar ko honay walay is ehtajaji muzahiray mein Muslim community ke mutadid afraad ne hissa liya. Is se qabal jummay ke roz, Karnataka ke mukhtalif ilaaqoun mein hazaroun musalmanoun ne namaz jummay ke bad shehriyat tarmeemi act ke khilaaf ehtijaj kiya aur sarkari afsaraan ku memorandum pesh kiya. Aur haftay ke roz, Senkdon Assami aur dosray shumal mashriqi reyastoun ke loog jo bangloru mein kaam kar taay hain, unhoun ne town hall mein CAA ke khilaaf muzahiray kiye.

Wahein, Delhi ki Jamia Millia university aur Uttar Pradesh ki Aligarh muslim university ke talba ki himayat mein peer ko Lacknow mein Islami madrassa Darul Uloom Nadwatul Ulama mein muzahiray hue. Nadwa college ke talba ne Delhi aur Aligarh police ke khilaaf muzahira kiya.

Uttar Pradesh ke police  DGP O.P. Singh ne kaha ke Campus mein aman-o-amaan ki sorat-e-haal par sakhti se amal dar-aamad kiya jayega aur jo taalib ilm tashadud mein mulawis hain, Unke sath sakhti se nimta jayega. Unhoun ne talba se aman barqarar rakhnay ki appeal ki.

Police ne Aligarh muslim university ke 500 talba ke khilaaf muqadmaat darj kiye hain, Jahan itwaar ki raat jhadpe hui the. It-tila-aat ke mutabiq AMU ke taqreeban 2 darjan talba ko pooch taach ke liye hirasat mein liya gaya hai. Ek senior Afsar ne bataya ke ”hamen shuba hai ke AMU mein itwaar ke roz honay walay tashadud mein kuch bairooni afraad mulawis thay“.

Algaraz, charon taraf CAA ko lekar ehtijaj jari hai, Is ke ilawa ehtijaj karne walay talba par police ki bar bariat afsoosnaak hai. Talba jo mulk ke maimaar hotay hain unpar is terhan ka sulooq karna hewani amal hai, Is terhan ki harkat karne walay police afsaraan ke khilaaf sakht karwai ki jani chahiye. –YTN STAFF