Dubai: Arabi zabaan se jahan musalmanoun ko ek dili wabastagi hoti hai wahein har musalman ki khwahish hoti hai ke wo Arabi ko na sirf padh sakay balkay wo is zabaan mein mahaarat ke sath bol chaal bhi kere, Jabkay Arab mumalik ka tijarat aur mulazimat ke liye rukh karne walay deegar afraad jin mein ghair muslim afraad bhi shaamil hotay hain wo maali fawaid ke pesh-e-nazar is zabaan ko seekhnay mein dilchaspi dikhate hain aur jab baat Arabi seekhnay mein online sahoolat ki hoto phir har koi Arabi seekhnay mein apni dilchaspi ko amli jama phentha hai. Is maqsad ke tehat Arabi seekhnay walay talba aur deegar afraad ke liye mutahidda Arab Emarat ki janib se’ ‘ Madrassa’ ‘ nami app muta-arif kiya gaya hai.
Mutahidda Arab Emarat mein open digital education Website ne 50 million se ziyada talba ko Arabi sikahnay ke liye madrassa application tayyar ki hai. Kher Arab talba bhi is ki madad se Arabi zabaan seekh sakenge.
Ye elaan Arabi zabaan ke aalmi din ke mauqa par kiya gaya hai jo 18 decemeber 2019 ko manaaya jata hai. Al Bayan ke mutabiq madrassa open E education ki munfarid aur Arab duniya mein apni noiyat ki sab se badi Website hai. Is se 20 lakh se ziyada afraad munsalik ho chukay hain. Ye Mohammad Bin Rashid Al Maktoum ke International programme mein se ek hai.
Application mein video ke zariye Arabi zabaan sikahnay walay ek hazaar asbaq faraham kiye gaye hain. Madrassa Application ke sherka ki tadaad 20 lakh se tajawaz karchuki hai. Yomiya ausatan 6 hazaar naye talba munsalik ho rahay hain. Mukhtalif marhloun ke talba ke liye Arabi zabaan ke asbaq ka intizam kiya hai. Pehlay group ke liye Arabi zabaan ki buneadi batoun par mushtamil asbaq shaamil kiye gaye hain, Jabkay dosray group ke liye primary darjay ki Arabi ke asbaq rakhay gaye hain.
Teesray marhalay ke asbaq mein Arabi zabaan sikahnay wala 50% mawaad pesh kiya gaya hai. Chouthay aur aakhri marhalay mein har marhalay ke talba ke liye ek hazaar videos muhayya ki gayi hain. Madrassa Application mahireen ke ek group ne tayyar ki hai. Is silsilay mein wizarat taleem-o-tarbiyat aur Zayed University ke professor aur Scholars ki khidmaat haasil ki gayeen. Asbaq ka intikhab field servay ki bunyaad par kiya gaya hai. –YTN STAFF