New Delhi : Pilibhit ke government primaray school ke principal Furqan Ali , jinhein guzishta haftay Maroof shayar Allama Iqbal ki nazam ”Lab pay aati hai dua ban ke tamanna meri Talba se gavaane ki wajah se mo-attal kiya gaya tha, inhen dobarah bahaal kardiya gaya hai aur dosray school mein muntaqil kar diya gaya hai.
District basic Education officer Devend swarap ne kaha ke ”Furqan behar-haal ek teacher ki haesiyat se khidmaat anjaam denge, head master ki haesiyat se nahi.
Furqan Ali ke mazoor honay ke baarey mein maloomat haasil karne ke baad, insaaniyat ki bunyaad par, inhen isi ilaqa ke dosray school mein tainaat kiya gaya hai. district basic education officer Devend swarap ne kaha ke Furqan Ali ko hatmi aur sakht intibah dey kar chodh diya gaya hai. inhen mehakma ke qawaneen par amal pera honay aur senior officers ki Hidayat par apni duty anjaam denay ko kaha gaya.
Wazeh ho-ke pichle haftay head master Furqan Ali ko school ke talba ke Allama Iqbal ki nazam ”Lab pay aati hai dua ban ke tamanna meri padhne par, vishwa hindu parishad ( VHP ) ki ek shikayat par mo-attal kar diya gaya tha. shikayat mein kaha gaya tha ke school ke head master, talba ko, jin mein ziyada tar aksriyati tabqay ke bachay hain, zabar dasti ”Lab pay aati hai dua ban ke tamanna meri padhate hain. VHP ka yeh bhi kehna tha ke mazkoarah dua aam tor par madarsoun mein padhai jati hai.
VHP ki shikayat ke baad furqan Ali ko school se mo-attal kar diya gaya tha. ab inhen intibah day kar dosray school mein bahaal kiya gaya hai. is waqea se saaf Zaher hota hai ke VHP hoya deegar Bhagwa jamatein musalmanoun ko kisi bhi tarhan harasan karne aur unko khauf mein mubtala karne ki koshish kar rahay hain. aur iske liye woh ab schoolon ke asateza ko bhi nshana bana rahay hain. –YTN STAFF