New Delhi: Bohat saaray talba is saal coronavirus ki wajah se beron mumalik taleem haasil karne ke apne mansoobon mein tabdeeli ya takheer kar rahay hain. America, Bartania, Canada aur Europe ka rukh karne se pehlay is wabai marz corona ki sorat-e-haal ka qareeb se jaiza le rahay hain. Is saal, Coronavirus wabai marz ki badolat beron mulk muqeem Medical taleem haasil karne ke khawahish mand talba ki tadaad mein 70 feesad se ziyada ki kami waqay huvi hai.
Taham kuch talba jo kisi bhi qeemat par Doctor ban-na chahtay hain, Covid-19 ki beron mulk sorat-e-haal kam honay ke baad apni taleemi khawahish ko agay badhane ke liye intezaar aur nigah rakhnay ka rawayya apan hue hain. Kuch talba ko NEET imthehaan mein apni karkardagi par wazeh tasweer mili, Jis ka nateeja haal hi mein jari kiya gaya. Inhen lagta hai ke woh Convener quotas ke tehat nashist haasil nahi kar payen ge lekin mojooda halaat mein Doctor ban’nay ke liye beron mulk safar karne ko tayyar nahi hain.
Chunkay beron mulk safar karne ke muamlay mein ab bhi halaat behtar nahi hain lehaza bohat saaray talba ka khayaal hai ke aglay saal honay walay NEET imtehanaat ki tayari karen, Lekin kuch dosray afraad dosray mumalik mein taleem, Maholiyaat, Mahireen taleem aur deegar pehlao se mutaliq taleem haasil karne walay talba se mashwara kar rahay hain. Kuch dosray loog online asbaq sekhna chahtay hain aur dosray mumalik ka safar karne ke liye tayari mein hain.
Taleem ke husool ke liye duniya ki sab se pasandeda manzilon mein China, Ukraine, Philphine, Roos, Hungry, Bulgaria, Caribbean Islands, Aur deegar mumalik hain. Salana 20 hazaar se ziyada talba un maqamat par safar karte hain. Kam az kam 3 hazaar talba un maqamat se MBBS karte hain. Khangi Colleges mein MBBS mukammal karne mein kam az kam 75 se 85 lakh rupay laagat aati hai jabkay dosray mumalik mein is taleem par 25 lakh se 35 lakh rupay tak ke hi masarif bardasht karne parte hain. Abroad Managing Director Dr Satish ne kaha hai ke bohat kam talba beron mulk MBBS mein dakhlay ke baray mein maloomat haasil karne ke liye un ki tanzeem se rabita kar rahay hain. Jab tak Covid wabai marz apne pemanay aur shiddat mein kam nahi hota hai talba is maidan mein agay nahi ayen ge.