Tuesday, May 6, 2025
HomeLatest NewsTalaq ka laazmi insurance, Misr mein ek naya tanaza

Talaq ka laazmi insurance, Misr mein ek naya tanaza

Istanbul: Misr mein miyan biwi ke darmiyan Talaq ke hawalay se laazmi insurance ke muamlay mein ek naya tanaza paeda hogaya hai.

Tafseelaat ke mutabiq Misr ke samaji halqoun mein yeh mauzo tanaza ka baais bana hua hai aur laazmi Talaq insurance ke hamion aur mukhalfin ki aaraa bati hui hain. abhi tak is policy ki hatmi shakal ka elaan nahi kiya gaya hai. is par parliament mein behas bhi baqi hai. is baare mein bohat saaray sawalaat paeda hue hain ke aaya yeh dastaweez Talaq ke muamlay mein biwi aur bachon ke huqooq ke liye insurance muhayya karegi. khaas tor par aisay halaat mein jahan Misr mein Talaq ki sharah sab se ziyada hai. kiya is policy se shadi ke ziyada akhrajaat ki rok thaam madad mileygi? ke badhatay akhrajaat se Misr mein shadi ke kam mawaqay kam ho rahay hain.

Misr ki financial supervisory authority ne is baat ki tasdeeq ki hai ke ek laazmi Talaq insurance policy, jo shohar ki taraf se shadi se pehlay muqarara qiston mein ada ki jati hai, abhi zair-e-ghour hai. is mein mutalqa ko muawza ya premium ki raqam ke sath muawzay ki muddat ka bhi taayun nahi kiya gaya hai. laazmi Talaq insurance se mutaliq dastaweez ko jari karne se pehlay is ka geherai se mutalea karne ki zaroorat hai. ladkoun aur ladkiyon ki taizi ke sath badhti Umar aur shadi ke badhatay akhrajaat se shadi bayah ke mawaqay mein kami, be-tahasha mohar aur deegar akhrajaat mein insurance policy ek izafi bojh ban sakti hai.

Is dastaweez ka misbet pehlu yeh hai ke shohar ko Talaq ki soorat mein khatoon aur bachon ki dekh bhaal ka paband karne ka zareya saabit hogi. taham chahay Talaq mard ki taraf se hoya khula ki shakal mein ho laazmi Talaq insurance ke nifaz se qabal is ke nataij, asraat aur mazmrat ka geherai se mutalea zurori hai.

Dr Asma ke mutabiq dastaweez biwi ke liye Talaq ki soorat mein mukammal huqooq ko yakheeni bananay ke liye misbet saabit hogi, lekin shadi ki Umar mein taakheer aur shadi ke akhrajaat mein manfi assar daaleygi. is se shadi ke taqazoun aur qanooni zimmedaryon ke baare mein noujawanon mein khauf mein izafah aur shadi ki sharah mein kami bhi aaskati hai.

khatoon maahir muashiaat ne is dastaweez ko tamam pehloun aur sharait par poori tarhan se mutalea karne ki zaroorat par zor diya, taakay Talaq ki soorat mein dono miyan biwi ke huqooq ko yakheeni banaya jasakay, khaas tor par Talaq Yafta aurtoun ko khawind ki taraf se adaigi se faraar ki soorat mein darpaish mushkilaat ke hal mein madad faraham ki jasakay. –YTN STAFF