Monday, April 21, 2025
HomeIndiaTalaq-e-salasa nahi sangeen masail par tawajjo ki zaroorat

Talaq-e-salasa nahi sangeen masail par tawajjo ki zaroorat

New Delhi : Talaq-e-salasa bill ko qanoon banaye jaane par hairat itni bhi nahi hui kyunkay BJP ke is daur mein kuch bhi hosakta hai aur khaas kar musalmanoun ke khilaaf to koi bhi qanoon banaya jasakta hai. dayen janib ki is hukoomat mein ahem masail se tavajja hatakar un masail ko ahmiyat di ja sakti hai jiska ahmiyat diya jana koi zurori bhi nahi hai yeh hi wajah hai ke ab parliament mein Talaq-e-salasa ki bill ko Manzoor karte hue usay qanooni darjah day diya gaya hai, halaanke khud muslim tabqay mein senkdon aisay masail hai jinhein jungi khutoot par hal kiya jana zurori hai aur un mein khaas kar roti, kapda aur makaan ka masla har muslim khandan ke liye bunyadi masla bana hua hai lekin aisay masail ko nazr-e-andaaz kardiya gaya hai aur is ke baraks jis maslay ka hua khada kia gaya tha woh Talaq-e-salasa hai aur usay poori shidad ke sath mazoor karwaya gaya hai.

Yaad rahay ke Talaq-e-salasa ke liye islam wazeh rahnumai ki hai lekin kuch samaji shaitano ki karstani hai jisne usay mutanazia banadiya hai. waisay bhi sirf muslim samaaj mein hi nahi duniya ke taqreeban har samaaj mein kuch aese shayatin mojood hain jo kay kuch ghair fitri aur ghair zurori masail khada karte hue aye din naye tanazeaat paeda karte hain, halaank-e-hamaray mulk mein zindagi basr karne ke liye kayi mushkilaat aur rukawaten aisi hain jinhein pehlay door karna waqt ka taqaza hai.

Haliya kuch arsay se duniya ke taqreeban har khittay mein yeh fashion ban gaya hai ke koi aisa mauqa haath se jaane nahi dena hai jiske zareya islam ki manfi tashheer ki jasakay aur apne siyasi aur samaji mafadaat haasil kiye jasakain. Hindustan ki taraqqi ke liye hukoomat kiya kar rahi hai kuch nahi, iske baraks Talaq-e-salasa ke maslay ko aisi ahmiyat di gayi hai jaisay is ke baghair mulk ki taraqqi ka tasawwur hi mahaal hai halaank Talaq-e-salasa ko qanoon bananay ka jo juwaz banaya gaya aur chand ek aisay waqeat ko bunyaad banai gayi jo ba aasani nazar andaaz kiye jasakte hain. Talaq-e-salasa ke waqeat aur is ke liye chhotey motay gharelo jhagdon ke adaad wo shumaar itnay qaleel hain ke inhen unglio par aasani se ganwaya jasakta hai.

Kisi jaahil ne apni biwi ko roti jala dainay par, kisi ne apni biwi ko tarkari ke liye paesey mangnay par, kisi ne apni biwi ko dawat mein jaane ki ijazat talab karne par aur kisi ne apni biwi ke make up ziyada karne par Talaq day di hai, aisi misaloun ko bunyaad banakar Talaq-e-salasa ka qanoon muta-arif kiya gaya hai halaanke aisay waqeat aate mein namak ke barabar hotay hain aur talaq-e-salasa ke qanoon ko Manzoor karwane ke liye aisay shawahid paish karne ki koshish ki hai ke jaissa ke mazloom khawateen gaye aur bakriyon ki tarhan zindagi guzar rahi hain aur unke shohar hazraat unpar charwahon ki tarhan zulm wo zayad-ti kar rahay hain.

Doosri janib Hindustan mein muslim tabqa behtar qiyadat nah honay ki wajah se is tarhan ke masail ka bhi shikaar ho raha hai kyunkay muslim tabqay ki durust simt rahnumai aur rahbari karne ke liye koi leader dikhayi nahi deta jabkay secular jamaaton ke doghlay pan ki qalee ek martaba phir khul gayi hai kyunkay woh Talaq-e-salasa ke khilaaf vote dainay ki bajaye parliment se hi walk out kiya jis se BJP aur uski Haleef jamaaton ko ziyada vote haasil karne mein aasani hui. Hindustan mein is waqt muslim samaaj siyasi aur samaji na insafiyon ka shikaar hai aur un mein etemaad ka fuqdaan bhi hai aur unke khilaaf jo propaganda  chalaya ja raha hai is se bhi unke hauslay pust ho rahay hain aur un tamam masail ki taraf hukoomat ki tavajja ek lamha ke liye bhi nahi jati.

Talaq-e-salasa ke mutaliq islam hamari har mahaaz par rahnumai aur rahbari karta hai ghalti hamari hai ke hum is maslay ka durust mutalea nahi kiya hai aur nah hi islam ki bunyadi usoolon se waqfiyat haasil ki hai jis ki wajah se halaat mushkil hue. agar dayen bazoki hukoomat haqeeqat mein muslim tabqay ke liye fikar mand hai to sab se pehlay hukoomat ko muslim tabqay ke fard aakhir tak rasai haasil karni hogi phir unke siyasi, samaji aur muashi masail se waqfiyat haasil karni hogi taakay haqeeqi maienay mein muslim tabqay ke masail hal hon aur inhen taraqqi ke liye nai rahein dikhayi jasakay.

Muslim tabqay ki taraqqi ke liye hukoomat ko selection committee ki report ki ek naqal haasil karte hue iska mutalea karna hoga ya phir is tarhan ki koi aur nai report ka bhi mutalea kiya ja sakta hai jis ke adaad wo shumaar aur haqayiq muslim tabqay ke masail ki asal tarjamani karen ge aur andaza hojayega ke muslim tabqa kis tarhan Hindustan mein do waqt ki roti ke husool ke liye kin masail ka saamna kar raha hai aur kin rukavatoun ko uboor karne ke liye usay khoon paseena bahana prhrha hai un tamam ki ek bunyadi wajah hukoomat ki firqa parasti aur mutasib zehniat hai. hukoomat ko sab se pehlay firqa parasti aur tang nazri aur taasub ko khatam karna hoga. –YTN STAFF