Wednesday, May 8, 2024
HomeIndiaTaj Mahal band, Sarkari mulazmeen ko rukhsat

Taj Mahal band, Sarkari mulazmeen ko rukhsat

Agra: Coronavirus ke khadshay ke pesh e nazar ahem sayahati markaz Taj Mahal ko band kardiya gaya aur sarkari mulazmeen ko bhi chhutiyoun par bhejnay ki hidaayat di gayi hai. Khabar-rasan Agency ke mutabiq hukoomat ne tijarti markaz Mumbai mein dawakhanoun  aur Airport ke hukkaam ko hidayat di hai ke wo un afraad ki fehrist muratab karen jinhein Isolation mein rakhnay ka hukum diya gaya hai.

Hindustan mein sahet ke mojooda nizaam ke pesh e nazar Corona se nimatnay ke liye dabao ke khadshaat ka izhaar kiya ja raha hai jabkay markazi hukoomat ne aksar Visa bhi mansookh kardiye hain. Report ke mutabiq Taj Mahal ke alawa kayi sayahati maqamat aur ajaneta ajaaeb ghar sameit mazhabi maqamat ko bhi band kardiya gaya hai. Doosri janib Mumbai mein is se qabal Schools, Cinema Hall, Shopping Mall aur awaami ijitmaat par pabandi ayed kardi gayi thi.

Hindustan mein rawan haftay Coronavirus ke mareezoun mein izafah dekhnay mein aaya hai, Jahan kayi shehroun aur kuch reyastoun mein bhi pehli martaba Coronavirus ke mamlaat samnay aeye hain. Coronavirus ke pesh e nazar Cricket ka sab se bada Mela Indian Premier League ( IPL ) ko pehlay hi moakhar kardiya gaya hai aur IIFA Film Award sameit deegar taqrebaat bhi moakhar ya mansookh karne ka elaan kar diya hai. Hindustan ne nah sirf Europe, Bartania Turkey jaisay mumalik ke shehrioun par mulk mein daakhil honay par pabandi ayed kar di hai balkay beron mumalik rehne aur wahan ki shehriat rakhnay walay Hindustanyoun ke dakhlay par bhi pabandi ayed kardi hai.

Medical Research Council ke Senior ohdedar ne kaha hai ke hukkaam 1000 se zayed mareezoun ka jaiza le rahay hain jinhoun ne un ilaqoun ka safar kiya hai jahan Coronavirus ke mamlaat samnay nahi aeye taakay mulk mein virus ke phelnay ki wajohaat ka suraagh lagaya jaye. Unhoun ne mazeed kaha ke is se hamein andaza hoga ke hamaray haan Coronavirus ki soorat e haal kiya hai, Aaya hamaray haan Virus ibtidayi shakal mein hai ya beroun mulk safar karne waloun ya un se rabita rakhnay waloun tak mehdood hai.

Hindoustan ne Coronavirus ke pesh e nazar ahteyati tadabeer karte huve Europi mumalik, Bartania, Turkey, Malaysia, Afghanistan o Philippine se anay walay shehrioun par mulk mein daakhil honay par bhi pabandi ayed kardi hai. Hindustan mein sab se ziyada Coronavirus ke mamlaat riyasat Maharashtra mein hain jahan mareezoun ki tadaad 40 tak hai jin mein se 3 ghair mulki shehri hain. Majmoi tor par is waqt tak Hindustan ki 15 reyastoun aur wifaqi ilaqoun mein Coronavirus ke mamlaat ki tasdeeq ho chuki hai jab ke 17 March ki subah tak Corona se honay wali halakatoun ki tadaad badh kar 3 tak ja pohanchi thi. –YTN STAFF