Monday, April 29, 2024
HomeSliderTail ki qeematoun mein giravat, Currency ki hungami khareed farokht mein izafah

Tail ki qeematoun mein giravat, Currency ki hungami khareed farokht mein izafah

New York/Riyadh: Duniya bhar mein Coronavirus ke phelao ke sabab tail ki qeematoun mein giravat aur currency ki hungami khareed o farokht dekhnay mein aa rahi hai. Khabar rasan idaray Bloomberg ke mutabiq America ki Stock Market mein 5 feesad ke qareeb giravat dekhnay mein aayi hai jabkay Japan 6 aur Bartania ki Stock Exchange 7 feesad se ziyada neechay aayi.

Tafseelaat ke mutabiq tail ki qeematoun mein mandi ke rujhan ke jari rehne mein kharidaroun ko faida ho raha hai lekin Coronavirus ke sabab beshtar mulkoun mein lakhoun afraad gharoun mein qaid ho kar reh gaye hain. Italy ne apne 2 shehroun Venice aur Milan ko ek mah ke liye mukammal tor par band karne ka elaan kiya. Maahir maeeshat Sara Hunter ne Bloomberg TV se guftagu karte huve kaha ke ghair yakeeni surete haal ka ye aalam hai ke kisi cheez ki simt samajh nahi aa rahi. Is waqt qeematoun ke utaar chadhao ka durust andaza lagana bohat mushkil hai.

Wazeh rahay ke aalmi manndi mein Coronavirus ke phelnay ke baad hungami sorat e haal hai jabkay Saudi Arab aur Roos ke darmain tail ki pedawar aur qeematoun ke muamlay par ikhtilafat hain. Japaani yan aur Australia Dollar sameit Currency ki hungami khareed o farokht se zar mubadla ki sharah ne taajiroun ko tazabzub mein daal diya hai. Sab se ziyada mutasir honay wali Currency mein Norway ka Krone shaamil hai, Jo Dollar ke muqablay 80 se ab tak ki kam tareen satah par poanch gaya hai.

Tail peda karne walay mumalik ki tanzeem (OPIC) ka ahem rukan mulk honay ke tehat Saudi Arab ne tail ki pedawar kam karne ka faisla kiya tha, Jis par Roos ne amal karne se inkaar kiya. Saudi Arab ne kaha hai ke ye faisla Coronavirus ke sabab kiya gaya, Jis ki wajah se aalmi maeeshat sust rawi ka shikaar hogayi hai aur tail ki talabb mein kami aayi hai. –YTN STAFF