Monday, April 29, 2024
HomeTrending NewsTail ki pedawar mein kami ke liye Roos aur Saudi Arab mein...

Tail ki pedawar mein kami ke liye Roos aur Saudi Arab mein moahida

Riyadh: Saudi Arab aur Roos ke darmain tail ki pedawar mein kami mein towsee ke liye moahida tey huwa hai. Dono mumalik ne dosray tail peda karne walay mumalik ko pedawar mein kami ke wadoun ki takmeel ki yaqeen dehani karate huve sakht muaqqaf apnaya hai. OPEC ke ijlaas se qabal dono baday tail peda karne walay mumalik dosray tail peda karne walay mumalik se keh rahay hain ke inhen pedawar mein kami ke muahiday ki pabandi karna chahiye warna April mein honay wali kasaad bazari ki wapsi ka khatrah hai jab tail ki qeematein kam tareen satah par chali gayi then. OPEC ke wafad mein shaamil ek ohdedar ne media se kaha ke Saudi Arab aur Roos ke darmain 9.7 million barrel tail peda karne ke hawalay se moahida mojood hai jis ka mahana bunyadoun par baqaidagi se jaiza liya jata hai, Lekin tamam OPEC plus mumalik ke liye zurori hai ke wo apni pedawar ko mojooda pedawari hajam tak barqarar rakhnay ke wadoun par amal karen. Unhoun ne mazeed kaha ke is hawalay se Saudi Arab aur Roos ke darmain koi ikhtilaaf nahi hai, Wo qawaid ki pabandi kar rahay hain aur chahtay hain ke tamam OPEC arkaan par dabao dala jaye ke wo bhi aisa hi karen. Ziyada tar OPEC mumalik April ki katotiyoun tak apni towsee ki muddat qaim rakhna chahtay hain. Is hawalay se naijeria aur Iraq mazboot tameel ki tajaweez par ghhor kar rahay hain. OPEC plus ki ek Virtual meeting short notice par aglay chand roz mein ya phir 9 June ko ho sakti hai. Brent khaam tail ki qimiten pedawar mein katoti mein towsee ki umeed par rawan haftay 40 dollar fi barrel rahen, Taham baad azan ghir yaqeni soorat e haal ki wajah se dobarah 39 dollar par chali gayeen. Mahireen ko umeed hai ke pedawar mein kami ke wadoun ki tameel ke liye baat cheet OPEC plus ke taweel mudti muahiday ko mutasir nahi keregi.  Qamar Energy consultancy ke cheif executive Robin Mills ne kaha ke tameel shuru se hi ek masla raha hai lekin sab kisi bhi qisam ke adam istehkaam se bachna chahainge, 40 dollar tak pohanchna ek bada karnaama hai jahan wo chand haftay qabal they. –YTN STAFF