Sunday, May 5, 2024
HomeIndiaTafteeshi kamron mein CCTV, audio recording ka intizam karne Supreme Court ka...

Tafteeshi kamron mein CCTV, audio recording ka intizam karne Supreme Court ka hukum

New Delhi: Kisi bhi jurm ko anjaam diye jane ke baad police ki janib se asal khatiyoun tak rasai ke liye ikhtiyar kiye jane walay amal par hamesha hi sawal uthaye jata hai aur police ke is kirdaar par sawalia nishaan hota hai ke woh asal khatiyoun tak rasai ke liye pehlay masoom aur be-qasoor afraad ko bhi hirasat mein letay hue tehqiqaat ke naam par inhen na sirf harasan kiya jata hai balkay un par third degree ka bhi istemaal hota hai lekin ab lagta hai ke be-qasoor afraad ko kisi bhi muqadma makhoz karne baad un se honay wali zabar-dasti ka sad-e-baab hoga kyunkay Supreme Court ne tafteeshi kamron mein CCTV camera aur aawaz ki recording ka bhi intizam kare.

Hindustan ke tamam thanon aur CBI, national investigation agency aur ED samait tehqiqati agencio ko laazmi tor par night vision aur audio recording ke sath CCTV camera laganay ka hukum sadir kiya gaya hai.

Supreme Court ne ek tareekhi hukum mein kaha jiska maqsad tehweel mein zyadtio ko rokna hai, reyaston ko tamam thanon mein audio walay camera nasb karne honge. Supreme Court ne kaha ke security camera tafteeshi kamron, lockup, andrajaat aur bahar har maqam par nasb kiye jayen. Judges ne kaha un mein se beshtar agencia apne daftaron mein tafteesh karti hain, lehaza un tamam dafatir mein CCTV laazmi tor par lagaye jayen taakay maloom hosakay ke tafteesh aur mulzim ke sath kis tarhan ka bartao kiya gaya hai, jis kisi bhi police station mein tehqeeq ka amal shafaaf hosakay.

Yeh camera police station ke dakhli aur kharji raastoun, lockup, rahdaryon, labi, istaqbaal ke ilaqay, sub inspector aur inspector ke kamray, istaqbalia aur bahar ke wash rooms mein lagaye jayenge. recording ki sahuliyaat walay CCTV camera NCB, directorate of revenue intelligence aur sangeen fraud investigation office ke dafatir mein bhi lagaye jayenge. agar zaroorat ho to saboot ke liye video aur audio rerecording ko 18 mah tak barqarar rakhna hoga. reyaston ko hukum diya gaya hai ke woh 6 hafton ke andar andar camera nasb karne ka amal mukammal karen. Supreme Court ne kaha ke is ki Hidayat aaeen ke article 21 ko zindagi ke tahaffuz aur zaati azadi ke bunyadi haq ke baray mein hain.