Saturday, May 18, 2024
HomeIndiatablighi Jamaat ke ghair mulki shehrion par Mumbai High Court faisla

tablighi Jamaat ke ghair mulki shehrion par Mumbai High Court faisla

New Delhi: Social Democratic Party of India ( SDPI ) ke qaumi general secretary Mohammad Shafi ne Tablighi Jamaat ke ghair mulki shehrion se mutaliq Mumbai High Court ke faislay ka khair muqaddam kiya hai jin par IPC, Mahmari bimarion ka Act, Maharashtra Police Act, Disaster Managment Act aur Forom Civil Act ki mukhtalif daf-aat ke tehat muqadmaat darj they. Mumbai High Court ne 29 ghair mulki shehrion ke khilaaf har terhan ki FIR ko mansookh karte hue kaha hai ke mulazimin ko qurbani ka bakra banaya gaya tha . Un ghair mulkion ko panah dainay ke ilzaam mein chay hindustani shehrion par mobayyana tor par muqadma darj kiya gaya tha. ye faisla Ivory Coast, Ghana, Tanzania, Djibouti aur Indonesia jaisay mumalik se ghair mulki shehrion ke zareya dair teen allag darkhwaston par kiya gaya tha.

Darkhwast guzar March mein Delhi ke Nizamuddin markaz mein Tablighi Jamaat ke ijtima mein shirkat ke liye hukoomat hind ki janib se jari kardah visit visa par Hindostan puhanche they. Unhoun ny zila Ahmed Nagar pounchanay ke barey mein District Superintendent Police ko aagah kiya tha aur is ke ilawa unhoun ny muqami afsaraan ko bhi aagah kiya tha halaank visa ki sharait mein aisa nahi kaha gaya tha. Mazhabi maqamat ki sair karne ki bhi koi momanat nahi thi. Tablighi jamaat ke ghair mulki shehri Covid-19 ki wajah se 23 March ku chay mulk bhar mein lockdown ke baad Delhi mein phas gaye they. Aamad-o-raft ki sahuliyaat band kar di gayi theen, Lodge aur Hotels ko band kardiya gaya tha. Lehaza inhen rehne ke liye masjid mein jagah di gayi. Wo kisi bhi mujremana sargarmi ya zilai collector ke hukum ki khilaaf warzi mein mulawis nahi they. Islamophobia mutasib markazi hukoomat jo RSS ke control mein hai un zaireen ki be basi ka istehsal kar rahi thi taakay musalmanoon ko badnaam kiya jasakay aur un ghair mulkion par ye elzamem lagaya jaye ke ye loog Covid-19 phela rahay hain.

Adalat neh mazeed tabsera kiya hai ke ab waqt aagaya hai ke mutaliqa afraad ke liye ghair mulkion ke khilaaf jane wali is karwai se tauba karen aur is terhan ki karwai se honay walay nuqsaan ke azaala ke liye kuch misbet iqdamaat karen. Darkhwast guzaron ke sath honay walay na-insafyon ka zikar karte hue adalat neh bayan diya hai ke ek siyasi hukoomat wabai marz ya afaat ki soorat mein qurbani ke bakray talaash karne ki koshish karti hai aur halaat batatay hain ke un ghair mulkion ko qurbani ka bakra bananay ke liye muntakhib kiya gaya tha aur Hindostan mein infection ke taaza tareen aadado shumaar se pata chalta hai ke darkhwast guzar ke khilaaf aisi karwai nahi honi chahiye thi. Mutassbana hukoomat aur media jo nafrat ki ghanaoni firqa waranah siyasat khelti hai is ke liye adalat ka ye bayan ek sakht dhachka hai. SDPI qaumi general Secretary Mohammad Shafi ne hukoomat aur is ki kath potli media se mutalba kiya hai ke wo mulk ke shehrion ke khilaaf firqa waranah imtiazi sulooq aur nafrat phelanay ke kaam kar band karen aur un sab ke sath aisa hi sulooq karen jaissa ke ayeen hind mein tasawwur kiya gaya hai.