Wednesday, April 24, 2024
HomeSliderTableeghi Markaz ko nishana bananay par America barham, Hukoomat Hind se karwai...

Tableeghi Markaz ko nishana bananay par America barham, Hukoomat Hind se karwai ka mutalba

New York: Tableeghi jamaat ke Nizamuddin mein waqay markaz mein senkdoun afraad ke ek sath thehray honay ki baat jab se Media ke samnay aayi hai, Tableeghi Jamaat aur aqliati tabqa ko nishana banatay huve aisi khabrain Media mein chalaye ja rahi hain jaisay Corona ko jaan boojh kar phelanay ki koshish ki ja rahi hai. Social Media par bhi Hindutwa zehniat ke loog Coronavirus se ladai ko ek mazhabi ladai saabit karne ki koshish mein lag gaye hain. Yahi wajah hai ke Twitter par Hashtag Nizamuddin Markaz aur Hashtag Tableeghi Jamaat jaisay Hashtag lagataar Trend kar rahay hain lekin America ne is terhan ke Hashtag par sakht narazgi ka izhaar kiya hai.

America ne kaha hai ke aisa zahir kiya ja raha hai jaisay Coronavirus aqliati tabqa ke logoun ke zareya hi phelaya gaya hai. Is terhan ka waqea kaafi afsoos naak hai. Americi ke khusoosi safeer Samuel D Brownback ne Press Conference ke douran is silsilay mein America ki raye rakhi. Unhoun ne kaha ke Americi intizamia ne guzashta kuch dinoun mein kayi aisay muamlay dekhe hain jis mein is bemari ke liye aqliati tabqa ko mulzim thehraya ja raha hai. Social Media par lagataar nazar aa rahay aqliati tabqa ko nishana bananay walay Trend ko le kar Brownback ne kaha ke is terhan ke Hashtag se aisa maloom hota hai ke Coronavirus aqliati tabqa ke loog jaan boojh kar phela rahay hain. Is terhan ki ghalat tashheer kayi ilaqoun mein ki ja rahi hai jo afsoos naak hai. Hukoomat ko is par rokk lagani chahiye.

Brownback ne mazeed kaha ke hukoomat ko is muamlay mein wazeh karna chahiye ke Jamaat ke loog Corona ke zaraye nahi hain. Hum jantay hain ke ye waba hai jis se poori duniya nabrd aazma hai. Is ka mazhabi aqlitoun se koi lena dena nahi hai. Lekin bad qismati se mein is terhan ka ilzaam lagta dekh raha hon. Mujhe umeed hai ke hukoomat is masla par logon se mukhatib hogi aur logon ke samnay sakhti se apni baat rakhaygi. Unhoun ne kaha ke is terhan ki soch ke aqliati tabqa ke loog Corona phela rahay hain, Fikar angaiz hai jo mulk ko zabardast nuqsaan pohnchayega. –YTN STAFF