Monday, May 20, 2024
HomeSportsT20 ko Inning mein taqseem karna mazhaka khaiz

T20 ko Inning mein taqseem karna mazhaka khaiz

New Delhi: Australia ki Big Bash League ne T20 Cricket ko 4 Inning mein baantane ka mashwara diya tha lekin Hindustan ke sabiq Opener Gautam Gambhir aur Australia ke sabiq Fast Bowler  Brett Lee ne usay yaksar mustard kar diya hai. Gambhir ne Star Sports ke Show Cricket Connected mein is tajweez par raye ka izhaar karte huve kaha ke ye tajweez mazhaka khaiz hai ke T20 Cricket mein Inning ko 2 Inning mein taqseem kiya jaye.

Sachin Tendulkar ne ek waqt mashwara diya tha ke 50 Over ki Cricket mein aisa kiya ja sakta hai ke Inning mein 25-25 over ki 2 Inning hon. Is se Toss ki ahmiyat bhi kam hojaye gi kyunkay kayi jagah halaat mein Toss ka kirdaar ahem hojata hai. 50 Over ki Cricket mein aisa kiya ja sakta hai lekin T20 mein qatee nahi. Ye waisay hi chhota farmit hai aur is mein waqt kahan hota hai. Usay 10-10 Over mein taqseem karna se muqaabla  buhat chhota hojayega.

Australia ke sabiq Fast Bowler Brett Lee ne kaha ke mein T20 Cricket ke haq mein hon chahay wo IPL ho ya phir Big Bash League kyunkay is mein logoun ko khail ka maza aata hai lekin kuch cheeze riwayati bhi hoti hain aur inhen barqarar rakhna hota hai. T20 mein 4 Inning rakhna mazaq hojayega. Mujhe ye pasand hai ke Match mein apne hadaf ka taqub karen ya phir Score ka difaa karen. –YTN STAFF