Monday, April 29, 2024
HomeSliderT10 ke zareya olympic mein cricket shaamil hosakti hai: Sangakara

T10 ke zareya olympic mein cricket shaamil hosakti hai: Sangakara

Abu Dhabi: Srilankan cricket team ke sabiq captain aur MCC ke sadar Kumara sangakara ne is umeed ka izhaar kiya hai ke T10 ke zareya olympic mein cricket ki  shamoolyat mumalik haiamoli. Yahan rawan mah munaqqid shudni T10 league ke zimn mein izhaar-e-khayaal karte hue sangakara ne kaha ke 2028 olympics mein cricket ki shamoliat ke liye T10 behtar format hoga. Olympics mein T20 ki shamoliat par apne khayalat ka izhaar karte hue sangakara ne kaha ke T20 ya T10 hi ke zareya cricket ko olympics mein shaamil kya ja sakta hai lekin is se qabal olympics mein cricket ko shaamil karne ta live abhi ahi safar tay karna baqi hai.

Tamam cricket mumalik ke cricket boards aur ICC ko is zimn mein kaam karna hai. Kyun ke hamein olympics ki sharait aur waqt ki pabandi ke mutaliq kisi ek format ko muta-arif karna hai. Kayi barson se olympics mein cricket ki shamoliat ki koshish ki jarahi hai lekin mujhe umeed hai ke tea 10 olympics mein shaamil honay ki mazboot davidari paish karsaktha hai.

Guzashta October ICC ne apne arakeen se olympics mein cricket ki shamoliat ke tijarti fawaid ke baray mein poocha tha. English captain eoin Morgan aur Chirs gayle jo ke is waqt T10 league mein Abu dhabi team ki numaindagi kar rahay hain un dinon ne olympics mein kick ki shamoliat ke liye T10 format ko haqeeqi dawaydaar qarar diya hai.

T10 league ke chouthay season ka Abu dhabi mein 28 January taa 6 feb ineqad amal mein araha hai aur umeed ki jarahi hai ke Sangakkara T10 cricket ko aalmi shohrat dilanay mein apna kirdaar aur ahem kar dein ge. Is waqt America mein bhi T20 league ki tayyariyan zor vo shor par hain. aalmi satah par T10 league ki maqboliat ke sath is ki Olympics mein shamoliat ke imkanaat ki umeed ki jarahi hai.