Sunday, May 19, 2024
HomeSliderSyria par Israeli Missile hamla, Russian fighter la patah

Syria par Israeli Missile hamla, Russian fighter la patah

Russia ki defence ministry ke elaan ke mutabiq Russia ka aik fouji tayyarah jis mein 14 askari ahalkal sawaar thae, peer ko raat gaye Syria ke saahil ke nazdeek Mediterranean Sea ke oopar parwaaz ke douran radar ki screen se gayab ho gaya. Yeh waqhiya muqami waqt ke mutabiq raat 11:00 bajey paish aaya jab ke isi douran Syria ke shaher Latakia ko Israel ki janib se missile hamlon ka nishana banaya ja raha tha. Mangal ke roz jari bayan mein Russian ministry of defence ney bataya hai ke ” IL. 20 tayyarah ke amlah se uss waqt rabita munqita huwa jab woh Hmeimim ke fazai adda ki janib wapsi ke douran Syria ke saahil se 35 kilo meter ki doori par Mediterranean Sea ke oopar mehve parwaaz tha”. Bayan mein kaha gaya hai ke fouji tayyarah ke amla ke anjaam ke baaray mein abhi tak koi ilm nahi aur tayyarah ki talaash jari hai. wizarat difaa ke mutabiq tayyarah ke radar screen se gayab honay ke waqt Israel ke chaar F16 tayyaray Syria ke soobay Latakia mein Infrastructure ko nishana bana rahay thea. Latakia Mulk ke shumal maghrib mein Shami sadar Bishar Al Asad ka garh shumaar kiya jata hai. Doosri janib Russian khabar rasan Agency “RIA Novosti ” ney aik askari zaraye ke hawale se bataya hai ke Shami fazai difai nizaam ney Israeli hamlon ke jawab mein firing ki. Russian defence ministry ka yeh bhi kehna hai ke “tayyarah se jis waqt rabita munqita huwa usi douran hamaray radars ney mazkoorah ilaqa mein maujood French Fighter behri jahaaz par se missile daaghe jaany ka pata chalaya”. Idhar Paris ney fauri taur par Russia ke ilzaam ki tardeed kar di hai. Francesi fouj ke tarjuman ka kehna hai ke “French afwaj is hamla mein kisi taur bhi mulawis honey ki tardeed karti hin”. Shami hukoomat ney pir ke roz aik behri missile hamla ki tasdeeq ki jis ke douran sahili shehar Latakia mein mutadid thikanon ke ilawa Hmeimim ke fouji adda ko bhi nishana banaya gaya. Shami hukoomat ke zair e intezam media ke mutabiq Latakia mein Technical Industries Corporation ko nishana bananey walay missilon aur drone tayyaron par rok laga di gayi aur is douran missile shikan nizaam ney un mein se kayi ko maar giraya. Syria mein insani haqooq ke nigaran Group Al-Marsid ke mutabiq hamla mein Latakia mein Technical Industries Corporation ke godowns mein golah barood ke depots ko tabah kar diya gaya. Idhar Israeli fouj ney Shami thikanon par Israeli fazai hamlon ke douran tayyarah ke la patah honay se mutaliq Russian ministry of defence ke elaan par tabsarah se inkaar kar diya. Israeli fouj ki tarjuman ney peer ki shab aik bayan mein kaha ke “ham bahar se aney wali khabron par tabsarah nahi karte”. Tarjuman ney apni qayadat ke sath iss maamla par behas ke liye mohlat talab kar li. Doosri janib aik Amrici ohdedar ka kehna hai ke America yeh samjhta hai ke Syrian hukoomat ki tayyarah shikan toup ney ghair danista taur par Russian fighter ko maar giraya, jis ke baaray mein Russian media ka kehna hai ke woh peer ki shab Mediterranean Sea ke oopar “Lapata” ho gaya. Amrici ohdedar ney British khabar rasan agency ko bataya ke America ke nazdeek Shami hukoomat ke difai nizaam ney Israeli missiles ka rasta rokney ke douran ghalti se Russia tayyarah maar giraya.