Sunday, May 5, 2024
HomeSliderSyed Abid Ali ke baad Mohammad Siraj Hyderabad ke dosray khiladi

Syed Abid Ali ke baad Mohammad Siraj Hyderabad ke dosray khiladi

Hyderabad: Hyderabadi Fast bowler Mohammad Siraj jo Syed abid Ali ke baad dosray Hyderabadi fast bowler hain unke liye aaj ka din tareekhi aur yadgar raha hai kyunkay unhon ne apne test career ki shuruvaat Australia mein ki hai.

Haal hi mein Apne waalid se marhoom Mohammad Siraj ko maidan mein team ke senior Spinner Ravichandran Ashwin ne hindustani topi hawalay ki. Melbourne ke cricket Ground par Australia ke khilaaf yeh dosra test match hai. Is tarhan 26 sala fast bowler hindustani keep haasil karne walay 298th khiladi ban gaye hain jabkay isi match mein Shubhman Gill 297th khiladi ban gaye jinhon ne bhi apne test career ki isi match se shuruvaat ki. Siraj ke waalid auto driver thay jinka haal hi mein inteqaal hua. Mohammad Siraj, Abid Ali ke baad hyderabad se talluq rakhnay walay dosray khiladi ban gaye jinhon ne apne test career ka aaghaz Australia ke khilaaf Australia may kiya. Abid Ali ne 1966-67 ki series mein Adelaide mein apna pehla test match khela tha aur ab isi nawabon ke shehar se talluq rakhnay walay Mohammad Siraj ne decemeber 2020 mein apne test career ki shuruvaat bhi Australia mein ki hai. BCCI ne Siraj ko cap hawalay karne ki mukhtasir video tweet ki hai.

Siraj ki pehli wicket par hyderabad mein khushi
hyderabadi cricketer Mohammad Siraj jinhon ne apne test career ki shuruvaat aaj Melbourne mein Australia ke khilaaf test series ke dosray match se ki ko pehli wicket haasil honay per Hyderabad mein unke chahanay walon mein musarrat ki lehar daud gayi. jaisay hi TV sets par barah-e-raast match mein Siraj ko wicket leta hua dikhayi diya, shehar ke cricket shaiqeen aur un ke madahon mein kaafi josh wa-kharosh dekha gaya aur tamam ne jashnn manate hue hue ek dosray ko mubarakbaad paish ki. Pehli wicket haasil karne ke liye unko 43 gaindon ka intezar karna pada. unhon ne khatarnaak labuschange ko Shubhman Gill ke hathon catch karwaya jinhoun ne gaind ko leg side par khailnay ki koshish ki taham woh Gill ke hathon mein gaind thama baithe. Haliya dinon mein yeh labughange kaafi behtar form mein nazar aaye hain. Wazeh rahay ke qabal azeen Hyderabad se taaluq rakhnay walay kayi khiladi qaumi team ke liye numaindagi kar chukay hain aur mulk ka naam roshan kar chukay hain. Un mein qabil zikar sabiq captain Mohammad Azharuddin, shivlal yadav , VVS Laxman, venkat patti raju aur Arshad ayub qabil zikar hain.

Siraj ka mutasir kin muzahira
Australia ke khilaaf boxing day test mein sab ki nazrain hyderabadi fast bowler par markooz theen kyunkay woh is muqablay ke zareya apne tst career ka aaghaz kar rahay thay. Siraj ne apne pehlay hi test mein mayoos nahi kiya balkay bowling aur fielding mein behtar muzahira karte hue shaiqeen ki umedon par poora utre. Mohammad Siraj ko zakhmi Mohammad Shami ke maqam par team mein shaamil kiya gaya tha aur unhon ne is mauqa ka poora faida uthatay hue 2 wicket liye jis mein australiyai inning mein sab se ziyada 48 runs bananay walay labushange ka wicket bhi shaamil hai. Siraj ne gend ke alawa achi fielding karte hue 2 catches bhi liye. Yaad rahe ke Mohammad Siraj ne IPL mein virat kohli ki team royal challengers banglore ke liye bhi behtar muzahira kiya tha.