Tuesday, July 8, 2025
HomeHyderabadSwami Paripoornanand ko shaher badar karne ke ehkaam par High Court ka...

Swami Paripoornanand ko shaher badar karne ke ehkaam par High Court ka hukum iltiwa

Hyderabad. Hyderabad ki High Court se aaj Hindus ke mazhabi rehnuma Swami Paripoornanand ko badi raahat mili hai. Unhen shaher badar kiye jaanay ke ehkaam ko challenge karte hue daakhil kardah darkhwast par muazziz High Court ney un ke shaher badar kiye jaanay ke ehkaam par hukum iltiwa jari kardiya hai. It-tila-aat ke mutabiq Swami Paripoornanand Hyderabad pohnchain ge aur mazeed bayanaat ke liye qiyam karen ge. Guzishta maah High Court mein Swami Paripoornanand ney teen alhadah Petitions mein Hyderabad, Cyberabad aur Rachakonda ke Commissioners aur Telangana ke Principal Secretary (dakhla) ki janib se un ke khilaaf jari kardah ehkaam ikhraj ko challenge kya tha. Unhen deegar bradarion aur un ke qayedeen ko nishana banatay huve isthiaal angaiz bayanaat dainay ka ilzaam aayed karte hue qanoon insidaad ghair samaji o khatarnaak sargarmian 1980 ke tehat unhen 6 mah ke liye 11th July ko Hyderabad se shaher badar kardiya gaya tha. Adalat ney qabal azeen is darkhwast ko samaat ke liye qubool karliya tha jis mein yeh id-daa kya gaya tha ke mazkoorah qanoon ke tehat shaher badar karne ke liye fard ka ghunda hona zaroori hai. Yaad rahay ke Telugu filmon ke naaqid o adakar Kathi Mahesh ney aik Television show mein HIndus ke bhagwaan Ram ke talluq se remark kya tha jis par Hindu bradri mein gham o gussa paaya jata tha. Swami Paripoornanand ney is bayan ke khilaaf sakht rad-e-amal zahir karte hue elaan kya tha ke woh Hindus ke mazhabi jazbaat ko thais pohanchanay walay bayanaat ke khilaaf Shiva Temple Bod Uppal se Yadadri tak Dharmika Chaitnya Yatra’ nikalenge.Swami Paripoornanand se qabal Kathi ko bhi 6 mah ke liye shaher badar kya ja chuka hai. Kathi ney Hindus ke bhagwaan Ram ko dhoka baaz qarar dainay ke sath sath kayi naazaiba remarks bhi kiye thay aur yeh tak kahe diya tha ke Sita Devi ko Rawan ke sath hi rehna chahiye tha chunkay woh Lanka mein behtar zindagi guzar sakti thi.