Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaSusrali Harasani Ka Shikaar Khawateen Ko Ek Aur Raahat

Susrali Harasani Ka Shikaar Khawateen Ko Ek Aur Raahat

New Delhi: Supreme Court ne susrali afraad aur jahez se mutasirah khawateen ke haq mein ek aur ahem faisla sunaate hue kaha ke sasural mein zulm wo sitam ki shikaar khawateen, Maike se ya apni jaye panah se bhi muqadma dair kar sakti hain. cheif justice Ranjan Gogoi , justice L.Nageshwar rao aur justice sanjay kishankul ki bench ne mukhtalif reyaston se 6 dair darkhwaston ka faisla sunaate hue yeh hukum sunaya hai jaissa ke un mein ek arzi Uttar pardesh ki Rupali¸ devi ki bhi thi.

Adalat ne kaha ke zulm ki wajah se sasural se nikaali jane wali khawateen, mulzimaan ke khilaaf is maqam se bhi jahan is ne panah li hui ho wahan se bhi muqadma darj karwasakti hain. bench ne apne faislay mein wazeh kar diya hai ke ab khawateen ko apni sasural ke ilaqay mein shikayat darj karwanay ki zaroorat nahi hai. adalat ne kaha ke mutasirah khatoon tazeerat hind ki dafaa 498 A ke tehat apni jaye panah ya maiyke mein mujremana muqadma darj karwasakti hai. ab tak khawateen ko isi jagah muqadma dair karwana padta tha, jahan is ka sasural ho. darasal adalat is muamlay par ek hawala par ghor kar rahi thi ke kiya tazeerat hind ki dafaa 498 A ke tehat jahez ke liye harasan karne ki saza par, zulm ka maamla uss jagah darj kiya ja sakta hai, jo tehqiqaat aur mulzim ki saza ke daira ikhtiyar walay maqam se alag ho .- YTN STAFF