Wednesday, April 24, 2024
HomeJurmSuryapet qatal muqadme mein 13 afraad girftar

Suryapet qatal muqadme mein 13 afraad girftar

shaivaa vimla police ne 2 feb ko kada koda mein riyatan gurum shishi dhari reddy ke qatal ke ilzaam mein mangal ko 13 afraad ko girftar kiya jo zila Warangal se talluq rakhte hai ke tor par ki gayi hai. police ne inhen suryapet ke ek khufia thikaane se girftar kiya jahan woh qatal ke baad panah le rahay thay .

girftar afraad ko media ke samnay paish karte hue suryapet ke deputy superintendent police S.Mohan kumar ne kaha ke kada koda road par waqay 8 Acer araazi par honay walay tanaza ke nateejay mein shishi dhari reddy ka beheemana qatal hua. Srinivas jo asli maalik bhi hai, is ne har shakhs ko ek lakh rupay aur ek gunta araazi dainay ke muahiday ke baad 12 afraad ko ready ko maarny ki zimma daari di. qatilon ne Suryapet mein ek aur hyderabad mein do nakaam koshish ke baad chothi koshish mein shishi dhari reddy ko qatal karne mein kamyabi haasil ki .

ALSO READ:-Jurm ki century ke qareeb pahonch chuka mamur chor

Suryapet ki kodi koda road par mobayyana toll par is ke zair qabza araazi par qabza karne ke baad Srinivas ne shishi  dhari reddy se dushmani paida kar di thi. qatilon ne gps device ko reddy ki gadi mein nasb kardiya tha. ibtedayi koshisho mein nakaam rehne ke baad kiraye ke qatilon ne ready ki car mein ek gps aala nasb kiya aur ek android app TGG IOT ke zariye is ki naqal o harkat par nigah rakhi jo madhuri venu ke mobile phone par dekhi jarahi thi .

jab 2 February ki shaam 6 baj kar 30 minute par reddy –apne zarayi khait mein gaya to qatilon ne GPS system ka istemaal karte hue usay is jagah par ghair liya aur us par hathyaaron se hamla kiya. kiraya ke qatilon ne qatal ke baad is jagah se faraar honay ke liye ek auto ka istemaal kiya tha. DSP ne wazeh kiya ke is muamlay mein koi bhi mulzim sabiq naksli nahi tha jaisa ke media ke ek hissay mein bataya gaya hai.