Thursday, May 16, 2024
HomeJurmSuryapet mein scarp ki dukan mein dhamaka se 1 shakhs halaak

Suryapet mein scarp ki dukan mein dhamaka se 1 shakhs halaak

Suryapet : Suryapet ke Ayyapa-swami mandir ke qareeb jumeraat ki subah Venkatasai  scrap shop mein honay walay dhamakay mein 1 shakhs halaak hogaya. scarp shop mein kaam karne wala MP ka 45 sala Ramchand Saahu motor cutter par plastic ke tins  kaat raha tha, dhamaka ke baais dukaan ke deegar karkunaan ko shadeed zakham aaye.

Police ka kehna hai ke dhamaka plastic ke tins  ko kaatnay ki wajah se hua, jis mein motoroun mein keemiyai solvents aur plastic ke tins ka ziyada bojh pada tha.

Is taluq se ek maamla darj kiya gaya hai aur scarp ki dukaan se Bar-amad samaan ko tajzia ke liye FSL ko bhejwa diya gaya hai.

Police nay awam se appeal ki hai ke un afwahon par yaqeen nah karen ke yeh bomb dhamaka tha. dhamaka sirf tins ko kaatnay ke douran plastic ke tins mein keemiyai radd-e-amal ki wajah se hua hai. –YTN STAFF