Tuesday, May 13, 2025
HomeIndiaSupreme Court ney INX media case mein chidmbaram ko di mashroot zamanat

Supreme Court ney INX media case mein chidmbaram ko di mashroot zamanat

New Delhi : Supreme Court neh mangal ko sabiq wazeer e khazana P Chidambaram ki INX media bad unwani case mein mashroot zamanat Manzoor ki. is case ki tehqiqaat Central Beuro of Investi gation ( CBI ) kar rahi hai. is ke bawajood woh INX media money laundering case mein 24 October tak enforcement directorate ki tehweel mein rahenge, kyunkay woh abhi bhi INX media money laundering case mein zair e hirasat hain.

Justice R Banumati, ASK bopna aur Harikesh roy par mushtamil bench neh inhen hidaayat di ke baghair ijazat beron mulk nahi ja sakte, aur inhen tafteesh mein taaoon  karna hoga.

Adalat neh chidambaram ko aik laakh rupiye ke zaati machalkay aur do raqmi zmanton ko bhi paish karne ki hidaayat ki. 18 october, jummay ko Supreme Court neh sabiq wazeer ki darkhwast par samaat  ke baad apna faisla mehfooz kar liya tha. aur mangal ko inhen zamanat dey di gayi. CBI neh chidambaram ki zamanat ki darkhwast ki mukhalfat karte hue kaha tha ke unhon neh INX media case mein ahem gawahoon ko ”Dabao aur asar andaaz“ karne ki koshish ki hai. chidambaram ko 21 August ko girftar kiya gaya tha aur woh fil haal adalti tehweel mein tihadh jail mein band hain.