New Delhi : Supreme court ney mangal ko BJP ke sabiq rehnuma aur RSS ke mufakkir K.N. Govindacharya’s ki darkhwast ko mustard kardiya. jis mein unhon ney Ayodhya maamla ki aaye din honay wali karwai ka barah-e-raast silsila ya audio, ya video recording jari karne ki maang ki gayi thi. jisko adalat ney yeh kehte hue mustard kar diya ke ab yeh mumkin nahi.
K.N. Govindacharya’s ney hafta ko, chief justice Ranjan Gogoi ki sarbarahi mein bench se Ayodhya case ki karwai ko barah-e-raast Nashar karne ke liye darkhwast di thi. Ayodhya case ki karwai aaj shuru hui.
Darkhwast mein Supreme court ke September 2018 ke faislay ka hawala diya gaya, jis mein kaha gaya tha ke Supreme court ki karwai barah-e-raast chalani chahiye. is mein kaha gaya hai ke taqreeban ek saal guzar jaaney ke bawajood, is muamlay mein Supreme court ke faislay par amal Dur aamad baqi hai.
K.N. Govindacharya’s ney apni darkhwast mein kaha ”yeh maamla qaumi ahmiyat ka haamil hai. darkhwast guzar sameit crores afrad hai, jo is adalat ki karwai ka mushahida karna chahtay hain.
Darkhwast mein yeh bhi kaha gaya ke ”Agar barah-e-raast nahi to karwai ki audio ya video record karsakte hain aur adalti karwai ki video adalat ki Website par jari ki ja sakti hain.
Darkhwast K.N. Govindacharya’s ney mazeed kaha ke ”ye maamla guzashta nou barson se Supreme court mein zair-e-samaat hai, aur badey pemanay par log muqadmaat ke faisle mein takheer ki wujohaat janna chahtay hain.
K.N. Govindacharya’s ney kaha ke ek digital super power ki haesiyat, Hindustan ke paas Ayodhya muamlay ki karwai ka barah-e-raast Nashar karne ka bandobast karne ka zareya mojood hai. –YTN STAFF