Sunday, May 19, 2024
HomeJurmSupreme Court ne Gujrat fasadaat ke 15 mujrimoun ki zamanat manzoor ki

Supreme Court ne Gujrat fasadaat ke 15 mujrimoun ki zamanat manzoor ki

New Delhi: Supreme Court ne mangal ko 2002 ke Gujrat ke Godhra Sardarpura fasadaat ke muamlay mein 15 mujrimoun ki mashroot zamanat manzoor ki, Jis mein ek khaas baradri ke 33 afraad ko zindah jala diya gaya tha.

Chief Justice S.A Bobde ki sarbarahi mein Bench, Jis mein Justice B.R Gavai aur Justice Surya Kant hain. Inhein 2 garohoun mein shaamil kiya. Un mein se 6 Indore mein rahen ge aur baqi Jabalpur jayen ge. Taham inhen Gujrat mein daakhil honay ki ijazat nahi hogi.

Supreme Court ne un se ikhlaqi rahnumai ko mazboot bananay mein madad ke liye, Zamanat ke doranee mein samaji kaam karne aur mazhabi kaam karne ki hidaayat ki. Supreme court ne Madhya Pradesh ke Indore aur Jabalpur mein zilai qanooni hakkaam se ye bhi kaha ke wo is baat ko yakeeni banayen ke adalat ki zamanat manzoor karne ke hidaayat nama ke mutabiq, Wo mujrim mazhabi aur samaji kamoun mein masroof hon.

Adalat ne hakkaam se kaha ke wo muaash ke husool ke liye rozgaar talaash karne mein un ki madad karen. Saza yafta afraad ki numaindagi Senior Advocate P.S. Patwalia aur Advocate Astha Sharma , Jabkay Solicitor General Tushar Mehta huve. Adalat ne deegar shartoun ke sath 25,000 hazaar rupiye ke zamanat band par mujrimoun ko reha karne ka hukum diya.

Wazeh ho ke is maamla ke jahan 15 mujrimoun ko adalat ne reha kar diya, Wahein deegar 17 ko omar qaid ki saza sunai gayi aur un 17 afraad ne Supreme Court mein zair iltiwa Appeal ka hawala dete hue zamanat talabb ki. omar qaid se mutaliq High Court ke faislay ko Supreme Court mein challenge kiya gaya hai. Is ka muqadma Supreme Court mein zair samaat hai. Wo ek taweel arsay se Jail mein hain. –YTN STAFF