Sunday, May 11, 2025
HomeIndiaSupreme Court ne congress rehnuma Ghulam Nabi Azad ko di Jammu Kashmir...

Supreme Court ne congress rehnuma Ghulam Nabi Azad ko di Jammu Kashmir jaaney ki ijazat

New Delhi : Supreme Court ne Jammu wo Kashmir ke sabiq wazeer-e-aala aur Rajya sabha mein qaied opposition Ghulam Nabi Azad ko Kashmir jane ki ijazat deydi hai.

Article 370 ko mansooq kiye jaaney se paeda hue halaat se mutaliq darkhwaston par peer ko samaat karte hue Ghulam Nabi Azad ko Kashmir jaaney ki ijazat di.

Darkhwast par samaat ke douran Ghulam Nabi Azad ne kaha ke mein apni riyasat jana chahta hon. aur barapur, antantnag, Srinagar aur Jammu jana chahta hon aur logon se milna chahta hon.

Unhon ne yeh bhi kaha ke mein adalat ko yeh etemaad dena chahta hon ke mein wahan koi rally ya jalsa nahi karoonga. aur logon se milna chahta hon. usay douran. Supreme Court ne Ghulam Nabi Azad ko jammu wo Kashmir jaaney ki ijazat daydi. chief justice ne markazi hukoomat aur reyasti hukoomat ko notice bhi jari kar diye hain.

Sath hi Supreme Court ne Marxist communist party ke rehnuma Mohammad Yousuf Tarigami ko bhi apni aabadi riyasat jaaney ki ijazat day di hai. jo yahan All India institute of medical science ( AIMS ) mein ilaaj kara rahay hain.

Chief justice Ranjan Gogoi , Justice SS Bobde aur SA Nazeer par mushtamil bench ne kaha ke agar AIMS ke dr inhen ijazat dete hain to sabiq rukan-e-assembly ko ghar jaaney ke liye kisi ki ijazat ki zaroorat nahi hai. wazeh ho ke bemaar rehnuma Tarigami ko adalat ke hukum ke baad 9 September ko AIMS mein daakhil kiya gaya tha. –YTNSTAFF