New Delhi : Supreme court ne jumerat ko INX media ghotale mein ED case mein sabiq wazeer khazana P.Chidambaram ko paishgi zamanat daine se inkaar kardiya. ab ED Chidambaram ko girftar kar sakti hai. Justice R. Banumathi ki sarbarahi mein bench ne kaha ”Peshgi zamanat dena munasib nahi hai. tafteeshi agency ko tehqiqaat ke liye azaadi di jani chahiye.
Adalat ne muashi jaraim par ek mushahida karte hue kaha ke yeh jaraim kaafi sangeen hain aur jab aisay mamlaat mein tafteesh jari hai to paishgi zamanat ko mustasna qarar diya jana chahiye. adalat ne mulzim ke taluq se sakhti se shukook wo shobhat ka izhaar kiya ke agar zamanat di gayi to woh shawahid ke sath Chedh chadh karsakte hain.
Adalat ne moujooda halaat mein paishgi zamanat daine ke baarey mein kaha ke is se jaanch mein rukawat paeda hogi. wazeh ho ke sabiq markazi wazeer ne 20 august ko Delhi high court mein paishgi zamanat ke liye appeal dair ki thi, jisay adalat ne kharij kar diya tha aur iske baad unhon ne Supreme court mein is faislay ko challenge kiya tha.
Jumeraat ko Supreme court ne bhi inhen paishgi zamanat daine se inkaar kar diya. jis ke baad ED ke liye Chidambaram ki giraftari ka rasta saaf ho gaya hai. –YTN STAFF