New Delhi: Congress ne kaha hai ke Maharashtra mein ittihadi hukoomat ne tashkeel ke muamlay mein Supreme court mein NCP aur Shiv sena ke sath party ne apna muaqqaf rakh diya hai aur usay umeed hai ke adalat mein jamhooriat ki jeet hogi.
Congress ke senior leader Aur Maharashtra ke sabiq chief minister Prithvi Raj chauhan, general secretary aur mehakma muwasilat ke sarbarah Randeepsingh surjewala ne pirko yahan parliament ihatay mein mushtarqa tour par press conference mein kaha ke teeno partiyon mein reyasti hukoomat bananay ke liye ittafaq hai aur hukumat ki tashkeel ke liye aksariyat se ziyada 154 arakan assembly ke dastakhat walay halaf namay bhi hain jinhein adalat ke samnay paish kiya gaya hai. is se wazeh hota hai ke ittehaad ke paas aksariyat ki munasib aadado shumaar hai. reyasti assembly mein aksariyat ke liye 145 arkaan assembly ki zaroorat hai lekin ittehaad ke paas 154 hain.
Unhon ne kaha ke adalat ne dono fareeqon ke dalail suneney ke baad mangal ki subah tak apna faisla mehfooz karliya hai aur unke ittehaad ko yaqeen hai ke adalat mein Maharashtra mein jamhoriat ghalib hogi. Inhen umeed hai ke adalat chief minister Fadnavis aur naib chief minister Ajit pawar ko aewaan mein apni aksariyat saabit karne ka hukum degi aur jald hi hukoomat se bahar ho jaienge. Congress rehnumao ne kaha ke teeno partiyan shiv sena leader Uddhav thackeray ki qayadat mein Maharashtra mein mushtarqa hukoomat tashkeel dena chahti hain. unhon ne kaha ke isse qabal jis tarhan adalat ne Uttarkhand aur karnatak mein 24 ghantoun ke andar ewaan mein aksariyat saabit karne ka faisla kia tha, isi tarhan ka faisla Maharashtra ke silsilay mein bhi aayega aur wahan bhi jamhoriat ki jeet hogi.
Supreme court Maharashtra mein governor ke zareya BJP ko hukoomat bananay ke liye dawat dainay ke faislay ke khilaaf shivsena, NCP aur congress ki arzi par mangal ko hukum sunayegi. Justice NV Raman, Justice ashok bhushan aur justice sanjay khannah ki khusoosi bench ne peer ko musalsal dosray din sabhi mutaliqa fareeqoun ki daleelen sunney ke baad faisla mehfooz karliya. Justice Raman ne kaha ke hum kal subah saadhay das bajey is par apna hukum sunaeinge.
Supreme court ne itwaar ko ek khususi samaat mein Fadnavis aur Maharashtra ke governor ke darmiyan khat vo kitabat ke dastawizaat peer ko saadhay 10 bajey paish karne ka markaz ko hukum diya tha. Solicitor general tushar mehta ne peer ko khusoosi bench ko wo dono khat saumpe, jiske zareya governor ne fadnavis ko hukoomat bananay ke liye dawat di thi aur BJP leader ne rukan assemblion ki himayat ka daawa kiya tha. MR mehta ne Daleel di hai ke NCP leader ajit pawar ke zareya 22 nov ko governor ko soumpe gaye khat mein inho ne NCP ke pooray 54 rukan assembly ki himayat ka daawa kiya tha. Khat mein zikar kiya gaya tha ke woh NCP ke sarbarah hain. –YTN STAFF