Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaSupreme court mein Ayodhya tanaza par aaj samaat nahi hosaki

Supreme court mein Ayodhya tanaza par aaj samaat nahi hosaki

New Delhi : Ayodhya tanaza par rozana samaat peer ko Supreme court mein nahi hosaki, kyunkay chief justice Ranjan Gogoi ki sarbarahi wali paanch judges ki aaeni bench ke judges mein se ek judge dastyab nahi the. Bench ne is maamla mein rozana samaat ke aathween roz senior wakeel C.S. Vaidyanathan ki daleelen sunnney ke liye jari rakhen, jo Ram Lalla Virajman ki janib se paish kiye gaye the.

Samaat shuru honay se chand minute qabl, dono fareeqoun ke wukala ko adalti amlay ke zariye bataya gaya tha ke justice S.A. Bobde  peer ko samaat mein hissa lainay ke liye dastyab nahi hain.

Ae-en bench mein cheif justice Ranjan Gogoi aur justice S.A. Bobde , D.Y. Chandrachud, Ashok Bhushan aur S.A. Nazeer. shaamil hain.

Guzishta haftay jumme ko Vaidyanathan  ne, Hindustan ke aasaar-e-Qadima ke survey of India ne Allahabad high court mein paish ki gayi report ke nataij ko samnay rakh kar apne dalail ko agay badhaya tha.

Vaidyanathan  ne isted-laal kiya ke, ek wasee wo Areez awaami jagah, jo hindu devtaoun ki pooja ke liye istemaal hoti hai, mutanazia muqam par moujood hai aur yeh doosri qabal maseeh ki tareekh hai. unhon ne adalat ko yeh bhi bataya ke mandir ke khandarat per masjid taamer ki gayi thi, aur is masjid ki taamer mein mandir ke khandaron se kayi cheezon ka istemaal kiya gaya tha. –YTN STAFF