New Delhi : Jamiat ulmaye Hind ki taraf se Ayodhya case se mutaliq peer ko, Supreme court mein nazar-sani ki Darkhwast dair ki gayi hai, ye Darkhwast ayodhya tanaza ke qanooni waris Maulana Syed Ash had Rashidi ne dair ki hai.
Darkhwast mein Supreme court ki janib se 9 November ko sunaye gaye faislay par nazar sani karne ka mutalba kiya gaya hai. zaraye ke mutabiq, Jamiat ne adalat ke is faislay ke un teen nakaat par tavajja di hai, jin mein tareekhi ghaltion ka zikar hai. lekin faisla is ke bilkul Bar-aks aaya hai.
Darkhwast mein kaha gaya hai ke, Hindu jamaatoun ke haq mein faisla sunate hue Supreme court ne 14 ahem nakaat par ghalti ki hai. is baat ka koi pokhta saboot nahi hai ke is Masjid ko mandir todh kar banaya gaya tha. 22-23 decemeber 1949 ki raat butoun ko androoni deewar mein rakhna bhi ghalat tha, ye baat Supreme court ne apne faislay mein batayi. 6 dec 1992 ko mutanazia dhanchay ko todna bhi ghalat tha. lekin un ghaltion par inhen saza dainay ke bajaye, unhein poori zameen di gayi. Darkhwast mein kaha gaya hai ke adalat is faislay par dobarah ghor kare.
Darkhwast guzaar ka kehna tha ke wo is muamlay ki hassas noiyat ka shaoor rakhtay hain aur tanaza mein muamlay ko par sukoon karne ki zaroorat par ghor karte hain, taakay hum hamaray mulk mein aman aur hum ahangi Bar qarar rahay. taham yeh arz kiya gaya hai ke insaaf ke baghair aman nahi ho sakta. –YTN STAFF