Sunday, May 5, 2024
HomeIndiaSupreme Court ke faislay se kisanoun ka bhala nahi hoga

Supreme Court ke faislay se kisanoun ka bhala nahi hoga

New Delhi: Haryana mein Hissar Bar Association ke arkaan ne kaha hai ke kisaan tehreek par Supreme Court ke faislay se kisanoun ka bhala honay wala nahi hai.

Zila baar association ke sabiq principal advocate JS malhi, bar rukna advocate dilip jakhad, advocate PC mittal, advocate prdip shiv Rana advocate sethi Bishnoi, Manoj saini hari singh yadav, Rajesh chodhary, bajrng vaunu chaye per charcha mein Supreme Court ke haliya hukum par ghor-o-khoz kiya.

Senior wakeel JS malhi ne kaha ke kisanoun ke mutalibaat markazi hukoomat se thay jabkay Supreme Court ko salisi ke liye darmiyan mein aana padha hai. Supreme Court ne jo chaar rukni committee tashkeel di hai, un arkaan ki raye pehlay se zarayi qawaneen ki himayat mein thi jis se kisanon ka is committee par yaqeen karna mushkil hai.

Advocate malhi ne kaha ke kisanon ke mutalibaat markazi hukoomat se thay jabkay mulk ke wazeer zarat tomar ne kisaan tanzeemon ke ijlaas mein hi kisanoun ko Supreme Court jane ki baat kehdi thi aur isi roz se kisanon ke diluba tha

Unhon ne daawa kiya ke markazi hukoomat aam logon mein apni saakh khoch ki hai. Wakeelon ke mutabqi mulk ki oppostion jamaten bhi hukoomat par zarayi qawaneen ki wapsi ka dabao banane mein nakaam rahi hain. Guftagu mein is baat par tashweesh ka izhar kiya gaya ke kisaan tehreek mein ab tak 70 se ziyada kisaan shaheed ho chukay hain aur hukumat ne kisi bhi hamdardi ka izhar nahi kya hai.

Darin-asna zarayi islahat ke qawaneen ki mukhalifat karne wali kisaan tanzeemon ne mulk bhar mein un qawaneen ki copian nazar-e-aatish ki. All India kisaan sangharsh coordination committee (AIKSCCC) ki yahan jari release ke mutabiq kisanoun ne mukhtalif reyastoun mein un tenu qawaneen ki copian jalayin aur unki mansookhi par zor diya. Is mauqa par Delhi ke qareeb tamam azlaa se yom-e-jamhooria kisaan tractor parade ki tayari ki appeal ki.

Committee ne kaha ke aaj mulk bhar mein 20 hazaar se zayed muqamat par qanoon ki copian jalayi gayeen. AIKSCCC ne Delhi ke aas paas ke 300 kilometer ke tamam azlaa ke kisanoun se appeal ki hai ke woh Delhi mein yom-e-jamhooria tracktor parade ki tayari karen aur sarhadoun par jama hon. Hindustan mein 18 January ko tamam azlaa mein yom khawateen kisaan manaya jayega, Bangal mein 20 taa 22 January Maharashtra mein 24 taa 26 January, kerala, Telangana, Andhra Pradesh mein 23 taa 25 January aur odisha mein 23 January ko governor ke office ke samnay kiya jayega.

Committee ne kaha hai ke guzashta 50 dinon se hukoomat ne mulk ke awam aur kisanoun ke samnay mustaqil tor par koi sachaai paish nahi ki hai ke un qawaneen se kisanon ko kiya faida hoga. Iska istadlaal hai ke takneeki taraqqi, sarmaya kaari, aur majmoi tor par taraqqi hogi. Hukoomat ne khangi sarmaya caroun ki madad ke liye ek laakh crore rupaye mukhtas kiye hain lekin woh takneeki taraqqi sarmaya-kaari aur Deegar ahem umoor par sarmaya kaari nahi karna chahti. Jab corporate sarmaya kaari kere ga to iska maqsad ziyada munafe haasil karna aur zameen aur pani ke wasail par qabza karna hai. Tanzeem ne ilzaam lagaya hai ke hukoomat nah sirf kisanoun ke baaray mein apni zimmedarion ko nibhanay mein nakaam rahi hai balkay mulk ki Supreme Court ke samnay bhi haqayiq paish nahi kiya hai.