New Delhi: Supreme Court ne chaharshambe ko kaha ke, Chief Justice ka daftar haq-e-ittila-aat ke qanoon ke tehat aata hai. chief justice Ranjan Gogoi, justice Sanjiv Khanna, aur Deepak Gupta ne kaha ke ”chief justice office RTI ke tehat ek awaami Authority ke tor par hai, aur Delhi high court ke 2010 ke faislay ko barqarar rakha. Supreme court ki 5 Judges par mushtamil aaeni bench ne chaharshambe ko ye faisla diya.
Rawan saal 4 April ko adalat ne is muamlay may apna faisla mehfooz karliya tha. wazeh ho ke saal 2010 may pehli baar chief justice ke daftar ko RTI ke tehat laane ke liye ek darkhwast dayer ki gayi thi.
Supreme court ne 3 faislay manzoor kiye
hain, ek chief justice Ranjan Gogoi aur justice Sanjiv Khanna, aur Deepak Gupta ke, aur 2 alag alag faislay, jis may justice NV.Ramana aur DY Chandrachud, waghaira.
Is muamlay par samaat ke douran adalat ne kaha ke, shafafit aur ehtesab ek dosray ke sath hain, chief justice ek aisa ohda hai, jo awaami Authority may aata hai.”
Justice Khanna ne kaha ke shafafiyat sirf adalati azaadi ko mazboot karti hai “. is faislay ke zareya Supreme court ne aala adalat ke secretary general ki taraf se dayer appeal ko mustard kardiya hai, jisko Delhi high court ke tenure ke tehat qabil-e-samaat chief justice ke mansab par faiz rehne ke hukum ko challenge kiya gaya tha. -YTN STAFF